Joh khuda ke pyare hote hai ... woh waqt se pehle khuda ko pyare nahi hote
Dharmendra
Ek pal mein poori zindagi badalne ki taqat hoti hai
Naseeruddin Shah
Main samay hoon ... main dard nahi, dawa bhi nahi ... main khuda nahi, duaa bhi nahi ... yaaron mujhse darna nahi ... aur waqt se pehle kabhi marna nahi
Krishna Abhishek
Meri aadhi zindagi Mumbai ke roads pe kat'ti hai ... average commuting time Mumbai Dubai ki flight se zyada ... aur turbulence full
Sonakshi Sinha
Waqt ki keemat nahi lagate ... kadar karte hai
Sharman Joshi
Samay apna khel khelne ke liye, apne tay khiladiyon ko, apni tay shuda jagah par le hi aata hai ... aur phir shuru hota hai khel
Jackie Shroff
Jab dil mein khushi ho na ... toh sadiyan bhi minuton mein khatam ho jaati hai
Unknown
Kabhi kabhi koi baat hum mein galat lagti hai ... aur kuch samay baad wohi hum mein sahi lagti hai
Fardeen Khan
Pyar ek aaisi faltu cheez hai jisse apna keemti waqt dene par bhi ... return mein ek second hand gadhi bhi nahi milti
Amitabh Bachchan
Sach kabhi chupta nahi ... prakat ho hi jaata hai ... sirf kabhi kabhi bahut der laga deta hai
Mithun Chakraborty
Apun Anna ... chaubees ghante chaukana!
Sunil Shetty
Time badal gaya hai ... time ke saath cheezon ki definition bhi ... aaj joh paisa leke kaam kare woh imaandar hai ... joh paise leke kaam na kare woh corrupt hai
Taqatwar se taqatwar insaan bhi kuch ghadiyon mein kamzor se kamzor ho jaata hai
Madan Puri
Tum ghadi ki keemat toh jaante ho ... magar waqt ki keemat nahi jaante
Govinda
Hum waqt ka intezaar nahi karte ... waqt hamara intezaar karta hai
Awaara lafango ke tarah ghoom kar sirf waqt kaata jaa sakta hai ... poori umar nahi
Shakti Kapoor
Kal ka intezaar karna seekho ... kal parso nahin aayega ... kal hi aayega
Har ek ki zindagi mein ek samay aata hai jab usse faisla karna padta hai ki panna palatna hai ya kitaab band karni hai
Waqt ki band muthi mein kya chupa hai, yeh koi nahi jaanta ... kaunsa bandan kab mukti ban jaye aur kaunsi mukti kab bandan ... yeh tum nahi keh sakte
Shilpa Shirodkar
Waqt jab zakhm deta hai na ... uska ilaaj bhi waqt ke paas hi hota hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory