Is duniya ki koi bhi taqat us vichaar us soch ko nahi rok sakti hai jiska samay aa gaya hai
Anupam Kher
Sadu, samay aur jal kabhi ek jagah nahi tikte ... suraj ki tarah chalte hi rehte hai
Unknown
Kriya karam ka samaan koi bhi khareed ke laye ... magar kaam uske aata hai jiska waqt aaya ho
Anil Kapoor
Joh aadmi time ko salute nahi karta ... uska life maut se bhi dangerous hota
Film line ki yahi reet hai ... naam aur shohrat milte bhale hi der lag jaaye ... naam aur nishaan mitate der nahi lagti
Naya ho chahe ho purana, hai toh tumhari nishaani ... kal subhe saat bajhe se shuru hogi teri meri prem kahani
Gadhi ki sui aur juae ki baazi ... kabhi nahi rukni chahiye
Yaadon ke aaine mein jab waqt ki dhool jamti hai ... toh chehre dhundale ho jaate hai
Din mein sirf chaubees ghante hote hai aur kaam ek sau chaubees
Jalal Agha
Mera bas chale toh ek minute mein 60 seconds, ek ghante mein 60 minute aur ek din mein 24 ghante ... bas tumhe dekhta rahoon, tumhe choomta rahoon
Sunil Shetty
Jab hum pehda hue the toh raat ke barah bajhe the ... aur raat ke barah bajhe sirf shaitan pehda hua karte hai
Danny Denzongpa
Jab time palti ho jaata hai na ... toh bete ko baap banne mein time nahi lagta
Deepak Shirke
Rishtey waqt se nahi, jazbaaton se mazboot hote hai ... kabhi koi ek saal tak janane ke baad bhi apne dil ki baat nahi samajh paata ... toh kabhi koi kisi ko ek pal mein apna jeevan saathi maan leta hai
Tusshar Kapoor
Zara si der ho jayegi toh kya hoga ... ghadi ghadi na uthao nazar, ghadi ki taraf
Zindagi ki kuch baatein itni khoobsurat hoti hai ... joh waqt se pehle nahi batayi ja sakti hai
Nutan Behl
Waqt ki chakki mein ek din zameen aur aasman pis jayenge ... lekin mohabbat ka nagma goonjta rahega ... hamesha goonjta rahega
Parikshat Sahni
Janta ki roke raah, samay mein dhaav kahan ... singhasan khali karo ki janta aati hai ... do raah samay ki rath ka, ghar ghar naad suno ... singhasan khali karo ki janta aati hai
Jab do akalmand ek doosre ko bewakoof banate hai ... toh is mein samay aur shabdh dono barbaad hote hai
Abhimanyu Singh
Mard ki nazron mein aurat ka waqt tab tak hi hota hai ... jab tak uska usse dil laga rahe
Vijayendra Ghatge
Waqt nahi beetta ... insaan beetta hai
Sanjay Suri
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory