Pandra sau ki naukri karne waala ... ek din tujhe dedh sau ka kafan pehnayega
Nana Patekar
Mere pass police hai, power hai, paisa hai ... tere pass kya hai?
Boman Irani
Paise ho na ho ... pyar apna jugaad nikaal hi leta hai
Ayushmann Khurrana
Gareebi todh deti hai joh rishtey khak hote hai ... aur paraye apne hote hai jab paise paas hote hai
Unknown
Jab pet ki roti aur jeb ka paisa chin jaata hai na ... toh koi samajh wamajh nahi reh jaati hai aadmi ke paas
Dilip Kumar
Ab Gandhiji ko hi le lo ... puri zindagi ahinsa ahinsa ke peeche bhaagte rahe ... aur humne unki photo aaisi cheez par chaap di ... joh hinsa ki sabse badi jhad hai ... paisa
Sanjay Dutt
Zyada paisa aaye toh neend nahi aati ... neend aaye toh zyada paisa nahi aata
Shashi Kapoor
Laundiya ko ghumana ho, jeb mein haath daalo note nikal aata hai ... laundiya ko gol-gappa khilana ho, jeb mein haath daalo note nikal aayega ... laundiya ko cinema dikhana ho, jeb mein haath daalo ... kya nikal aata hai? ... (note) ... lekin jab jeb phatti hogi, us mein haath daloge toh kya nikaloge ... ghanta!
Govinda
Paisa kamane mein time lagta hai ... churane mein nahi
Sonu Sood
Hamari duniya daulat aur maut ka woh chakravyuh hai ... jis mein ek baar dakhil ho jao, toh koi vapsi nahi
Dalip Tahil
Do tarah ke log hote hai ... ek woh joh pehle kamate hai, baad mein party karte hai ... aur doosre woh joh party karne ke baad, bill chukane ke liye gadhe jaisi mehnat karte hai
Manoj Joshi
Bahut sasti ho chuki ho tum ... tumhe dene ke liye hamare paas chillar bhi nahin hai
Jimmy Shergill
If there is love ... toh tees rupaye aur ek cup coffee enough hai happiness ke liye
(Tum karte kya ho vaise?) - Main apne dad ke paise kharch karta hoon
Ranbir Kapoor
Upar wala dua qabool karta hai ... main sirf cash leta hoon
Emraan Hashmi
Aish karne ke liye bhi cash chahiye
Darshan Jariwala
Rap game tere bas ka nahi, tu dhone aaja meri gaadi ... daan mein lele paisa, jaa tu aish karle bikhaari
Agar paisa ban sakta tha ... toh maine banaya hai
Abhishek Bachchan
Ghar ki izzat sanskaro par khadi hoti hai ... daulat ke dherro par nahi
Hrithik Roshan
Aapki nazaron mein paisa pyar aur bhagwan dono se bada hai ... aap samajhte hai joh madhurta paison mein hai woh Sharda ke sitar mein, Vishnu ke shank mein nahi ... aap samajhte hai joh sundarta paison mein hai woh Rati ki surat mein nahi, swarg ki jhanki mein nahi ... paise mein joh pavitatra hai woh Ganga ke pani mein nahi, Savitri ke daman mein nahi ... paise mein joh taqat hai woh maa ke aashirwad mein nahi, devtaon ke zubaan mein nahi ... satya, shiv, sundar sab paisa hai ... jiske paas paisa hai woh raja aur jiske paas paisa nahi woh Raju?
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory