Noton ka malik wahi hota hai ... joh unhe apni jeb mein rakhta hai
Prem Chopra
Mumbai mein insaan ki keemat uski supari se hoti hai
Sanjay Dutt
Daulat, izzat, shohrat ke samne hum aadmi bhale hi jhuk jaye ... par kehte hai ek aurat ka dil kabhi nahi jhukta
Abhishek Bachchan
Baap ka paisa hai ... pade pade sadd jata hai
Siddharth Narayan
Paisa uska joh dhanda jaanta ho ... aur main hoon dhando no gando chokro
Saif Ali Khan
Duniya mein aadmi ki nahi ... uske kapdon ki, uske dhan ki kadar hoti hai
Kader Khan
Maine apni zindagi ki shuruvat zero se ki ... ussi zero ko main apne bank account mein add karta gaya
Aditya Pancholi
Mere aadmi daulat khaate hai, daulat peete hai, daulat jeete hai, daulat soote hai
Sadashiv Amrapurkar
Paise ka lalach insaan ki akal mein daraare daal deta hai ... aur woh tumhari tarah, apni kismat khud jala bethta hai
Raaj Kumar
Aaisa kabhi nahi hoga ki tum do lakh kama rahe ho ... aur woh maa baap ke pressure mein pachaas hazar waale se shaadi karle
Kartik Aaryan
Main paison ka aaisa multiplication karoonga ... ki dekhte dekhte aapke chehre pe joh smile hai uska subtraction ho jayega ... aapke dimaag ka division ho jayega ... aur meri zindagi mein aapki beti ka addition ho jayega
Akshay Kumar
Paiso ke liye aatankwadi ladte hai, sipahi nahi ... sipahi sirf apne vatan ki izzat aur mulk ki hifazat ke liye ladte hai
Arbaaz Khan
Mujhse paanch minute na milkar ... aapne apna paanch lakh ka nuksaan kiya hai
Amitabh Bachchan
Hum aaya tha karza lene ke liye ... par tumne Sher Khan ko khareed liya
Pran
Signal pe khada hawaldar sau rupaye mein meherban hai ... naam tumhara Khan toh aatankvadi poora khandan hai ... wahan apne hi ghar mein pankhe pe latak raha kisaan hai ... lekin mera desh mahaan hai
John Abraham
Kala aadmi ko bahut kuch deti hai ... lekin TDS bhi poora kaat leti hai
Ayushmann Khurrana
Laxmi samne se darshan dene ko tayaar hai ... aur aap joh hai line mein khade rehna chahte hai
Anurag Kashyap
Mehnat se sirf pasina nikalta hai ... paisa nahi
Is duniya mein kisi bhi cheez ko haasil karne ke liye teen tarike ki power chahiye ... money power, political power, muscle power
Anil Kapoor
Khula paisa aur khuli aurat samne ho ... toh aadmi ka dimaag kaam karna bandh kar deta hai
Ashish Vidyarthi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory