Zindagi band ghar ka diya banke reh gayi hai ... joh na achchi tarah se jal sakta hai aur na hi poori tarah se bhujne mein aata hai
Unknown
Is ghar ko aag lag gayi ghar ke chirag se ... baat teri meri ban gayi tere dimaag se
Jagdeep
Farishtay ke ghar mein shaitaan pehda hota hai ... aur shaitaan ke ghar mein farishta
Joh baap apni beti ko apne faide ke liye istemaal karte hai ... usse kothi mein nahi, kothe pe rehna chahiye
Mandakini
Jab aulaad jawaan ho jaati hai na ... tab naukrani ki nahi ... bahurani ki zaroorat hoti hai
Sulochana Latkar
Seedhe ghar jaoge yah ... haspatal hokar jaoge
Sunil Shetty
Yaad rakh, tere paas hamare khilaf proof hai ... magar tera ghar bulletproof nahi hai
Mithun Chakraborty
Jin toofano mein tum jaiso ke jhopde udh jaaya karte hai ... hum unhi toofano mein apne kapde sukaya karte hai
Himesh Reshammiya
Inquilaab bhookhe pet se pehda hota hai ... aur inquilaab ki aag bade bade rajmahalon ko jalakar khaakh kar daalti hai
Ghar kabhi chota ya gareeb nahi hota ... ghar toh uske ghar waalo se bada hota hai
Agar ab bhi tumhe gareeb ki taqat ka andaaza nahi toh jao ... duniya mein jitne mahal bane hai ... unki khandaron ki ek ek eent se poocho ki tumhe banane waala kaun aur mitaane waala kaun
Raajneeti ka zehar, dharam, jaati aur basha ka glucose bana karke do kaumon ki ragon mein bhar dete ho ... aur phir apne mahalon mein behet karke janta ki khoon ki holi ka tamesha dekhte ho
Amitabh Bachchan
Moti chachi, lamba chacha jab aayenge home ... patthar jaisa dil dono ka ban jayega maum
Mehmood
Bhagwan rehta hai mandir mein, woh uska ghar hai ... panchi rehte hai amber mein, kyun ki woh unka ghar hai ... amir aadmi rehta hai mehalon mein, kyun ki woh uska ghar hai ... toh phir itni badi duniya mein ek gareeb aadmi kahan rahega?
Deepak Tijori
Doosre ke ghar ka cheena hua diya ... apne ghar mein kab tak ujala de sakta hai
David Abraham
Jis ghar sansar ki gaadi udhaar ke paiyon pe chalti hai ... woh subah shyam puncture hoti chali jaati hai
Kader Khan
CID waale shaq ke dhaagon se hi yakeen ka ghar banate hai ... joh baad mein mujrim ke liye qaid khana ban jaata hai
Kal ki vaishya aaj kisi shareef ghar ki bahu nahi ban sakti
Asha Parekh
Jis ghar ka jawaan beta aadhi raat tak bahar rahe ... us ghar ke bade buzurgon ki aankhen bhi bahar hi rehti hai
Avtar Gill
Kachche faisle karne waale darr ke gharondo mein chup jaate hai
Farha Naaz
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory