Hum shor nahi karte ... seedha shikaar karte hai
Vicky Kaushal
Mann ke jeete jeet hai, mann ke haare haar ... haar gaye joh bin lade, un par hai dhikaar ... un par hai dhikaar joh dekhe na sapna ... sapno ka adhikaar asal adhikaar hai apna ... apno ki khatir karna kuch aaj humein ... ajar, amar kar dena hai swaraj humein ... tu maati ka laal hai, koi kankad ya dhool nahi ... tu samma badal ke rakh dega, itihaas likhega bhool nahi ... tu bhor ka pehla taara hai ... partivartan ka ek naara hai ... yeh andhkaar kuch pal ka hai ... phir sab kuch tumhara hai
Sher nahi raha lekin chhaava abhi bhi jungle mein ghoom raha hai
Vishwas aapka saath hai toh yudh lage tyohaar
Haathi, ghode, top, talwarein, fauj toh teri saari hai ... par zanjeer mein jakda raja mera ab bhi sab pe bhaari hai
Unknown
Maut ke ghunghroo pehenke naachte hai hum ... hamari maut Marathon ke har ghar ek naya Shiva, ek naya Samba pehda karegi ... lekin jab tu marega tab yeh teri Mughal sultanat bhi mar jayegi
Sahi aur galat mein antar keval drishtikon ka hai
Divya Dutta
Isse itna dard do ki jab woh apni maut ki bheekh maange ... tab bhi uske mooh se sirf cheekein hi nikle
Akshaye Khanna
Jis tarah galatiyan karna har insaan ke swabhav ka hissa hota hai ... us hi tarah shamaa karna bhi manav ka kartavya hota hai
Rashmika Mandanna
Allah ke ghar se maut ka farmaan aur apne ghar mein bin bulaya mehmaan ... kabhi bhi aa sakta hai
Jab jab dharti par aatank aur atyachaar badta hai ... tab tab dharti ko bachane kisi mahapurush ka janam hota hai
Aapki galatiyan apradh ka roop dharan kar chuki hai ... aur apradhi ko shamaa karna apne aap mein ek bahut badi galati hai
Kavi mann ke meet anek, phool panchi prakriti samet, woh har kisi ko apnata hai ... sangat ka woh swarthi nahi joh har mehfil ko sajata hai
Prabhu agar prasan hai toh kya laaj samaaj ... is kavi kalash ke meet hai Sambhaji Shivraj
Mitra meet ravi samaan ... koi na sehchar kavi samaan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory