Mard tayaari nahi karte ... hamesha tayaar rehte hai
Apne kasoor ki sazaa se kisi bekasoor ko bachane ke liye ... main maut se bhi takkar le lunga
Jiski maut jis ghadi likhi hoti hai ... ussi ghadi aati hai
Joh haare woh anari hai ... aur joh jeete wohi khiladi hai
Jinki zindagi maut ki chaon mein guzri ho ... woh maut se kahan darte hai
Parampara ko na koi talwar kaat sakti hai, na koi aag jala sakti aur na waqt badal sakta hai
Mard woh hota hai ... jiske choone se murda aurat ke badan mein bijli chamak jaye
Chand tasveer-e-butaan, chand haseeno ke khutoot ... baad marne ke mere ghar se yeh samaan nikla
Is duniya mein suraj ko mutthi mein chupana aasaan hai ... lekin ek baar jurm karke usse hamesha ke liye chupana namumkin hai
Raghukul reet sada chali aayi ... pran jaye par vachan na jayi
Main ishq hoon ... ishq jisne seekha nahi duniya mein kisi se darna ... jisne seekha hai agar kuch toh mohabbat karna ... husn ke naam par mitt jana, fanaa ho jana ... jaan se khelna, tasveer-e-wafa ho jana
Hum toh actor log hai, wah pe zinda hai ... dekhne wale wah na kare, toh dil se aah nikalti hai
Tum jaise namardo ko maarne ke liye ... meri maa ke paon ka ek kada hi kafi hai
Joh tu bhojan na kar raha hota ... toh aaj tu narak ka bhojan ban gaya hota
Tera haath, haath mein aa gaya ... ke chirag raah mein jal gaye
Tu mere samne hai ... teri zulfein hai khuli, tera aanchal hai dhala ... main bhala hosh mein kaise rahoon, kaise rahoon
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory