Jahan par maut hone waali hoti hai na ... wahan par pehle ullu ka saaya padta hai
Unknown
Woh bhool gaya ke usne sher ke mooh mein haath daala hai ... ab main uska haath toh kya ... uska poora wajood mitta ke rakh doonga
Avtar Gill
Apni jaan ki salamati chahta hai toh bhaag nikal yahan se ... varna tere tukde tukde karke cheel kauwon ko khila doonga
Aman Verma
Saanp ke bil mein haath dalne waala ... uska zeher bhi uttarna jaanta hai
Sunil Shetty
Mere chehre pe kutte ki naak lagi hui hai ... main apne karazdaar ko soongh ke pakad leta hoon
Kader Khan
Kutte ko izzat di jaye toh use pichli seat pe bithaya jata hai ... par koode ko bori mein daalkar dicki mein patka jata hai
Sunny Deol
Saanp ko aadha maarke chhod do toh woh aur khatarnak ho jaata hai
Rami Reddy
Jis tarah saanp se zehar alag nahi kar sakte ... ussi tarah jurm se mujrim ko aap alag nahi kar sakte
Shakti Kapoor
Jungle mein sannate ka matlab jungle mein sher hai ... aur log khauf se jungle jaate nahi ... magar sher jab jungle chhodkar khule-aam shehar mein shikaar karne lagta hai ... toh poora shehar usse maarne ke liye khada ho jaata hai
Mahesh Manjrekar
Jungli janwar ke pinjre mein pair rakhne se pehle tasalli kar leni chahiye ki pinjra band hai ... khaas karke jab pinjre mein sher ho
Vidyut Jamwal
Besharam gende ki behaya khaal ... bina pancho ki chaupal
Govinda
Kitne bhi chuhe ek saath mil jaaye ... sher ko toh chhodo, ek billi ko bhi kuch nahi kar sakte
Amitabh Bachchan
Apun patang, woh apni dor ... woh morni, apun uska mor
Ritesh Deshmukh
Sher ke mooh ko jab insaan ka khoon lag jaata hai ... tab usse kisi aur janwar ke shikaar mein mazaa hi nahi aata hai ... issi tarah ek baar jurm ki kamai khoon mein utar jaaye ... toh halaal ki kamai khane mein mazaa hi nahi aata hai
Jeetendra
Jaise sher ki aankhon mein dekhkar uska shikaar apni jagah se hil nahi sakta ... waise hi mere dushman meri izaazat ke bagair kahin nahi jaa sakta
Danny Denzongpa
Kutte ke aage haddi aur gareeb ke aage paisa ... jab daal diya jaata hai toh woh dumm hilane lagta hai
Kroadh woh zehareela saanp hai joh dasta zaroor kisi doosre ko hai ... lekin zehar khud ki zindagi mein ghol deta hai
Anupam Kher
Ab tak tum is vardi ki ahmiyat ko samajh nahi paye ho ... kyun ki tum ek aaise dimak ho jisne is police station ki deewaron ko itna khokla kar diya hai ... ki koi mamuli sa ladka isse todh sakta hai
Mohan Joshi
Saanp apne dushman ki tasveer apni aankhon mein utaar leta hai ... Bond apne dushmanon ka nishaan apne baazu saja leta hai ... apna apna style hai
Akshay Kumar
Kaali billi bhi agar mera rasta kaat jaye toh mujhe kuch nahi hoga ... balki woh mar jayegi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory