Insaan anubhav se hi toh seekhta hai ... first play along the game and then decide how to play the game
Patthar ki duniya, patthar ke dil, patthar ki Heer ... tu jaisi bhi hai manzoor hai
Zindagi race ki tarah hai ... joh ghoda jeetta hai ussi ki izzat hoti hai
Aap ki kameez ka size bahut chota hai, Sir ... kyun ki mera seena aap se bahut bada hai
Yeh khilona nahi ... maut ka pehghaam hai
Amir aadmi kabhi kabhi itna gareeb hota hai ... ki uske paas paise ke sivah aur kuch nahi hota hai
Budhapa aake jaata nahi aur jawaani jaake aati nahi
Joh usoolon ke raaste pe chalte hai ... unke dost kam hote hai aur dushman zyada
Kuch log umar ke saath badhte hai aur kuch log bighadte hai
Dosti ki tarah dushmani bhi ek tarfa nahi hoti ... dono taraf se hoti hai
Mera kaam tumhe sarkari mehmaan banana hai
Har ek kutro wafadar hoye chhe ... par aaiyan toh maaroich wafadar kutro nikdo
Desh logon se banta hai aur logon ki pehchan unke pariwar se hoti hai
Waqt, jihad aur maut ... kisi ka intezar nahi karta
Mauka jitna chota shabd hai na ... utni hi derr ke liye aata hai
Aadmi ke do haath toh hote hai magar neta banane ke baad ... ek haath ekdum lamba aur ek haath ekdum chota ho jaata hai ... woh lambe haath se vote kheenchta hai aur chote haath se note deta hai
Peeonga, khoob peeonga ... itna peeonga ke seene ka khoon gale tak, aur gale ka khoon bahar tak
Pathan ko toh sirf do hi baatein aati hai ... hadh se zyada pyar aur behadh nafrat
Haath chhodke baat kar varna yamdoot ke hawale kar doonga
Jua mein juari haarta hai ... patta nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory