Insaan jitna bhi kyun na bhaage ... maut se nahi bach sakta
Sapne kuch kuch magic jaise hote hai ... dikhta kuch hai aur hota hai kuch aur
Samay apna khel khelne ke liye, apne tay khiladiyon ko, apni tay shuda jagah par le hi aata hai ... aur phir shuru hota hai khel
Pistol toh haath mein bachche bhi pakad sakte hai ... magar usse chalana bachchon ka kaam nahi
Bahut khush hona bhi achchi baat nahi hai ... aasoon nikal aate hai
Kyun meri Kashmir jaisi zindagi ko Kurukshetra banane pe tuli ho?
Akreda, toh rakhrega
Tum toh jungle ke junglee janwar ki junglee chokri lagti ho
Na Sikh, na Isai, na Hindu, na Musalman ... sirf insaan
Maut ko daakhil hone ke liye kisi ki ijaazat ki zaroorat nahi padti hai
Zeherilay saanp zyada din zinda nahi rehte ... ek na ek din kisi ki laathi uska sar kuchalkar rakh deti hai
Jab mazaa lena ho toh main logon ko bulata hoon ... jab khabar leni ho toh main logon tak jaata hoon
Jab ek fauji ki khopdi garam ho jaati hai toh woh apni hadh hi kya ... dushman ki sarhad bhi paar kar jaata hai
Kisi aaise aadmi ke saath din guzaro ... joh raatein tumhari yaad mein guzarta ho
Maine tumhe apne dil mein qaid kar rakha hai aur us dil ki chabi us samundar mein phekh di hai
Pehle main insaan ko pasand karta hoon ... phir uske kaam ko
Har bachche mein ek bhagwan ka roop hota hai
Power hi hai bhaiya joh aadmi ko banati hai phamous
If you want to be what you want to be ... be what you want to be ... and to be what you want to be ... believe what you want to be
Har crorepati apni zindagi ek rupai se shuru karta hai ... aur har bikhari bhi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory