Aadmi ke dil aur maut ka koi bharosa nahi hai ... kab, kispar, kis waqt aa jaye time nikalke ... bata nahi sakta
Laxmikant Berde
Duniya mein ooncha naam kamane waale waqt se pehle apne iraade zahir nahi karte
Suresh Oberoi
Lamhon ko toh guzarna hoga, aandhi ko toh chalna hoga ... main ek khayal hoon mujhe jaane do, khayal ka haath kaun pakadta hai
Preity Zinta
Insaan toh waqt ki tarah hota hai ... badalte hi rehta hai
Rishi Kapoor
Zindagi chubne lagi kaanton ki tarah yaar mujhe ... har pal tere intezaar ka sadiyon ki tarah guzra
Unknown
Hai Ram kya waqt aa gaya hai ... maa ki shiksha ka amrut bhi beti ko zehar lag raha hai
Lalita Pawar
Thakur waqt ke hisaab se nahi chalte ... waqt Thakur ke hisaab se chalta hai
Govind Namdeo
Agar hamare intezaar ki ghadi guzhar gayi ... toh tumhare guzharne ki ghadi ka intezaar tumhe nahi karna hoga
Ravi Kishan
Kehte hai waqt har zakhm bhar deta hai ... magar waqt hi mera zakhm hai
Sanjay Dutt
Apne shabd aur samay ko bahut hi soch samajhkar karchiyega ... yeh dobara lautkar nahi aate
Amitabh Bachchan
Aashiq aur waqt ki badi hi dushmani hai ... jab insaan aashiq ban jaata hai toh waqt kat'ta nahi hai
Achcha bura toh waqt hota hai ... aadmi nahi ... bure waqt hi pata chalta hai aadmi bura hai ki achcha
Nilu Phule
Beeta hua kal toh ek khwab hai ... uska na koi chehra hota hai na wajood hota hai ... sach toh sirf tumhara aaj hai aur tumhara aane waala kal
Sharat Saxena
Jaane do isse ... is waqt yeh khudgarzi ke ghode pe savar, barbaadi ke toofan mein udhta hua chala ja raha hai ... aur aaise sawar ko waqt ke thappad aur zamaane ki thokar ke sivah koi nahin rok sakta hai
Kader Khan
Yeh Bombay hai ... yahan time ka matlab hai paisa ... mujhe tees minute journey teen minute mein poori karni hai
John Abraham
Kismat ki sabse khoobsurat aadat pata hai kya hai ... woh waqt aane pe badalti hai
Madhavan
Yahan Melbourne mein kisi ke pass kaam ke liye time ho ya na ho ... lekin pyar ke liye yahan sabke pass time hai
Kareena Kapoor
Sahi waqt hai toh ab hai ... mauka hai toh ab hai
Zayed Khan
Do suiyon ke beech zindagi kya kya khel dikhaye ... naya purana natak karta waqt guzarta jaye
Raj Kapoor
Insaaf ki laathi mein awaaz ho ya na ho ... timing badi zalim hoti hai
Arshad Warsi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory