Cheenti chadi pahad pe daane ke vaaste ... aur kuwaaron ki manzil mohabbat ke raaste
Unknown
Chahe marr hum jaye phir bhi marham lagake jayenge ... dost ke dil se utar ke nahi, dost ke dil mein utar ke jayenge
Divyendu Sharma
Yeh ishq nahi asaan, itna hi samajh lijiye ... ek aag ka dariya hai, aur doob kar jaana hai
Madhuri Dixit
Tu khelta hoga toofano se, humne toh toofan paale hai ... joh darte hai so marte hai, hum markar jeene waale hai
Sunny Deol
Har yaar wafaadar nahi hota ... har patthar chamakdar nahi hota ... na jaane bal mein kitne phool khile hai ... har phool khusboodar nahi hota
Agar tumhare ishq ko koi laal jhanda dikhayega ... yakeen karo yeh ghalib unko dhanda dikhayega
Deven Verma
Maana ki kismat ne hara diya hai dost, par itne toh gunehgar nahi hum ... mare ek sipahi ki maut, kya iske bhi haqdar nahi hum
Mukesh Khanna
Sangemarmar se tarasha hua ye shaukh badan, itna dilkash hai ki apnane ko jee chahta hai ... surkh hooton mein terakhti hai woh rangeen sharaab, jisko pee peekay bahak jaane ko jee chahta hai ... naram seene mein dhadakte hai woh nazuk toofan, jinki leharon mein utar jaane ko jee chahta hai ... tum se kya rishta hai kab se hai yeh maloom nahi, lekin is husn pe mar jaane ko jee chahta hai ... humse behtar hai yeh pazeb joh is paon mein hai, issi pazeb mein dhal jaane ko jee chahta hai ... rakhle kal ke liye yeh doosri pazeb-e-dil, kal issi baz mein phir aane ko jee chahta hai
Rishi Kapoor
Ek tha raja ek thi rani ... dono mar gaye khatam kahani ... main drink la raha hoon ... tu la thanda pani
Sushant Singh Rajput
Hum jism nahi, rooh ko bas mein karne ka shauk rakhte hai ... ujaalon mein nahi, andheron mein savarte hai
Apni laashon se hum tarikh ko aabad rakhe ... woh ladai ho ki angrez jisse yaad rakhe
Shatrughan Sinha
Kis kis tarah se mujhko na rusva kiya gaya ... gairon ka naam mere lahu se likha gaya ... kyun aaj uska zikr mujhe khush na kar saka ... kyun aaj uska naam mera dil dukha gaya
Farooq Shaikh
Kiska jhoot, jhoot hai ... kiske sach mein sach nahi ... hai ki hai nahi, bas yahi sawaal hai ... aur sawaal ka jawaab bhi sawaal hai
Shahid Kapoor
Tune jiska naam apni hatheli pe chupaya hai ... zara aake dekh jharokhe pe, woh apni hatheli pe tera chaand leke aaya hai
Kapil Sharma
Chakli, chivda, gud papdi, samose ... mera toh sab ram bharose
Deepika Padukone
Sau mein se assi beimaan ... phir bhi mera desh mahaan
Nana Patekar
Kal tak joh ajnabi tha, dil aaj ussi ko chahta hai ... zindagi dene waale tujhpe, mar jaane ko jee chahta hai
Rani Mukherjee
Woh veer hi kya jiske samne shrungaar apni palkein na jhuka de ... woh shrungaar hi kya jiske samne veer apni talwar na daal de
Ranveer Singh
Khuchal doonga, masal doonga, jala doonga, loota doonga ... rulaya mujhko kismat ne ... main duniya ko rula doonga
Pran
Jaise til mein tel hai, jyon chakmak mein aag ... tera Sai tujh mein hai, tu jaag sake toh jaag
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory