Kheench laye joh unke dar pe, aaisi deewangi ko kya kahiye ... katal karke bhi woh khamosh hai, aaisi saadgi ko kya kahiye
Sunny Deol
Banta nahi hero muscle yah metal parts se ... banta hai aur mitta hai superhero sirf apne heart se
Shahrukh Khan
Na jaagte hue khwab dekha karo, na chaho usse jise paa na sako ... pyar kahan kisi ka poora hota hai, pyar ka pehla akshar adhoora hota hai
Priyanka Chopra
Laal mere dil ka haal hai ... lagta tumpe kamaal hai ... yeh tofha nahin sawaal hai ... kya Subhash Ghai ki picture Taal hai?
Saif Ali Khan
Burai sang joh mel rachaya ... phir kabhi na chutte uska saaya
Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna ... jab yaad meri aaye milne ki dua karna
Ibtada-e-ishq hai, rota hai kya ... toilet paper hai, dhota hai kya?
Divyendu Sharma
Koi kahe jheel, koi kahe jharna, koi dilruba tujhko ... main bekhauf keh deta hoon, husn ka khuda tujhko
Akshay Kumar
Bekhabar soye hai woh loot ke woh neendein meri, jazba-e-dil pe taras khane ko jee chahta hai ... kabse khamosh hue ho jaane jahan kuch bolo ... kya abhi aur sitam dhane ko jee chahta hai
Rishi Kapoor
Haramipan ki badbu aa rahi hai tere baaton se ... ab toh paki ho gayi teri maut mere haathon se
Dharmendra
Dine, wine, maaro me line ... I am free after nine ... place is yours or mine?
Ranjeet
Mohabbat ko samajhna hai toh pyare khud mohabbat kar ... kinare se kabhi andaaz-e-toofan nahi hota
Kader Khan
Woh aake gire hum pe bijli ke khambe ki tarah ... khuda ki kasam current kha ke mazaa aa gaya
Aamir Khan
Jalte hai log na jaane kyun mere junoon se ... arre ek baar toh dekh liya hota mera hunar sukoon se
Pulkit Samrat
Namkeen nani, naughty nana hai ... maike kab tak rahoongi, Ram ke ghar jana hai
Deepika Padukone
Na suhaag hai na raat hai, phir bhi suhaagraat ka scene nazar aata hai ... believe it or not, har kutte ka din aata hai
Na main Dilli waala, na main CBI waala ... ek behen ka bhai, ek maa ka beta ... himmatwala!
Ajay Devgan
Kasam khakar aagaya hai inteqam ka yeh angaraa ... bajaonga aaj teri maut ka nakaraa
Mithun Chakraborty
Mohabbat ka matlab ikraar nahi hota, sirf kisi ko dekhna pyar nahi hota ... yun toh milte hai roz mohabbat-e-pehgham, mohabbat hai zindagi baar baar nahi hota
Yun toh duniya ne bhi teer maare bahut ... yaad aayenge ehsaan tumhare bahut
Priya Rajvansh
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory