Dil par pyar ka raj hota hai ... taqat aur haisiyat ka nahi
Arjun Rampal
Insaan aaise gunaah zindagi mein sirf do hi baar karta hai ... ek ya toh sar pe kisi ka udhaar ho aur doosra jab dil mein kisi ka pyar ho
Paresh Rawal
Nahi ishq mein iska toh ranj hum mein, ke qarar-o-shakeb zara na raha ... gham-e-ishq toh apna rafeeq raha, koi aur bala se raha na raha ... na thi haal ki jab hum mein apni khabar, rahe dekhte auron ke aeb-o-hunar ... padi apni buraiyon pe joh nazar, toh nigaah mein koi bura na raha ... zafar aadmi usko na jaaniyega, ho woh kaisa hi saheb-e-fehmozaka ... jisse aaish mein yaadein khuda na rahi, jisse taish mein khauf-e-khuda na raha
Unknown
Neend uski hai, dimaag uska hai, raatein uski hai ... jiske baazu par teri zulfein pareshan ho gayi ... dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din ... behte rahen tasawur-e-jana liye hue
When a person is passionately in love ... uski sari takleefein door ho jaati hai
Ho jaoge majboor tum bhi kuch is tarah ... Ranjhe ki mohabbat mein Laila thi jis tarah
Govinda
Mujhe woh haseen dard dedo jisse aaj ke baad main kisi doosre ke saath na baant sakun ... aur mera yeh jism sirf tumhari amanat bankar reh jaye
Kehte hai pyar mein sachchai ho ... toh kiss karte waqt aankhen band ho jaati hai
Bobby Deol
Hamari is rangeen duniya mein jab aap hamari mallika hongi ... zindagi jaise jannat mein basar hogi
Mohabbat junoon hai ... na jagah dekhti hai, na waqt ... yeh toh bas deedar chahti hai
Zulfi Syed
Har ek dil yahan ek dil talash karta hai ... wafaa ki, pyar ki manzil talash karta hai ... yahan parwane shama se kareeb hote hai ... haseen nazaron pe shehzaade shaheed hote hai ... yahan dil lene dene ki ada bhi kaatil hai ... yahan ke vaade bahut dil-nasheen hote hai ... joh bekaraar kare woh karaar kehte hai ... is bazar ko Meena Bazar kehte hai
Tumhe koi chahe yeh toh bahut hi mamuli si baat hai ... magar tum kisi ko is tarah tootkar chaho bahut badi baat hai
Priyanshu Chatterjee
Pyar karne waale kisi ke mana karne par kab ruke hai ... yeh dil toh pagal deewana hai, yeh toh pyar karega ... yeh na kabhi dara hai duniya se, na kabhi darega
Aksar log safar mein humsafar ban jaate hai
Woh bhookhi pyasi nahi hai, uska pet bhar gaya hai ... mohabbat ki hawa khake, ishq ka sharbat peke
Jab pyar ki aag ek baar jalti hai ... toh woh kabhi nahi bujhti
Kamal Hassan
Woh shaadi hi kya teri dawat nahi jis mein ... aur woh aag hi kya teri soorat nahi jis mein
Lagta hai tum aasman se tapki ho ... upar se neeche aakar zameen par chamki ho ... uparwaale ne kya super kaam kiya hai ... tujhe fursat mein bana diya hai
Asrani
Bina dekhe, bina soche samjhe maine tujhe pyar kiya ... aur tune mere armaanon par dokhe ka vaar kiya
Anupam Kher
Pyar karne waale jismon ke milan par nahi ... aatmaon ke milan par bharosa karte hai
Mithun Chakraborty
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory