Mohabbat mein aashiq raat ki neend, din ka chain, bank balance, mobile ka top-up, sab kho dete hai ... maine toh phir bhi dimaag ka ek pench hi khoya hai
Varun Sharma
Dil joh karta hai woh kyun karta hai ... yeh toh bas dil hi jaanta hai
Gulshan Devaiah
Pyar joh hai na woh ready-made nahi hota hai ... usse hai na aise pyar se sui dhaage se silna padta hai
Rajkummar Rao
Yeh ishq kya hai ... sulagti saansein, tarasti aankhen, machalti roohein, dhadakti chattiyan
Mandira Bedi
Maazi ki raakh mit'te toh chingaariyan mile ... beshak kisiko chaho, magar is qadar nahi
Shareer ki seemayein hoti hai, beemaar hota hai, thak jaata hai, bhook lagti hai, sota hai ... janam leta hai, kuch pal yahan guzarta hai ... mar jaata hai ... chahat ka in cheezon se koi rishta nahi, koi sambandh nahi ... chahat ki na umar hoti hai, na maut ... passion is immortal
Nana Patekar
Hai tere saath meri wafa, main nahi toh kya ... zinda rahega pyar mera, main nahi toh kya
Priya Rajvansh
Rooh ko dard mila, dard ko aankhen na mili ... tujhko mehsoos kiya hai, tujhe dekha toh nahi ... dard ki raah se guzre toh zamana jaane ... aap ka mujhse, mera aap se rishta kya hai
Hema Malini
Dheere dheere pyar ko badhana hai aur hadh se guzar jaana hai ... pyar, mohabbat, dosti, I don't know ... lekin woh joh hadh se guzar jaane waala part hai na ... woh ho jayega
Kunal Khemu
Jisne pyar na kiya ... woh jiya toh kya jiya ... aaj khule aam kehte hai ... rab se pyara hai piya ... yaar ke baahon mein jiye ... aur yaar ke kandhon pe mare ... yaar se yaari nibhayein ... dil se dildaari karen
Unknown
Deewane se deewangi ka sabak na poochna ... woh khud nahi jaanta ki woh deewana kyun hai
Naseeruddin Shah
Yeh nazar unki nazar se aaisi takrayi ki bas ... hosh rukhsat ho gaye woh bekhudi chai ki bas ... zulf bikhri aur lipatkar mere dil se reh gayi ... meri duniya khushbuon se aaisi mehakai ki bas
Rajendra Kumar
Ishq kare koi kisi se hum mein kya harz hai bhai ... nuksaan joh hamara hoga kaun karega bharpai
Dinesh Hingoo
Maine joh tumhe chaha kya is mein khata meri ... yeh tum ho ya aaina, insaaf zara karna
Rakesh Bedi
Bankar, savarkar woh nikle makaan se ... yahi shor hoga yahan se, wahan se ... qayamat qayamat kisse kehte ho ... woh dekho qayamat chali jaa rahi hai
Main jaanta hoon ki mujhe apne aap se door karne ki tumhare paas hazar wajah hongi ... par tumse door na jaane ki mere paas sirf ek hi wajah hai ... main tumhare bina jee nahi sakta
Abhishek Bachchan
Aaj abhi chand nahi nikla ... lekin is waqt aapne meri amavas ki raat ko poonam ki raat bana diya
Shyama
Bahut samajh samajhke samajh mein aaya hai ... ki pyar ko sirf pyar hi samajh sakta hai
Govinda
Pyar ko pyar mein pade bina samjha nahi ja sakta
Aashiqkon ki chittaon par lagenge har baras mele ... ishq par marne waalon ka yahi baqi nishaan hoga
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory