Pothi padh padhkar jag mua, pandit bhaya na koi ... dhai aakhar prem ka, padhe so pandit hoye
Karisma Kapoor
Bhagwan bahut acha hai tu, naari kya cheez banayi hai ... isko koi samajh na paya hai, sab duniya chakkar khayi hai ... arre yeh chakkar hi toh sab kuch hai, baki toh aata jaata hai ... woh yowan chullu mein layi, yeh ullu sher sunata hai ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Asrani
Waqt do haathon par chalta rehta hai ... ek sa rehkar badalta rehta hai ... har koi uska hamrahi, par soona hai uska raasta ... har kisi se hai rishta, par kisi se nahi vaasta ... waqt, rakht ki tarah behta waqt
Unknown
Kabhi akhbaar, kabhi khat kaagaz ... rozmarra ki zaroorat kaagaz ... aane jaane ki sahulat kaagaz ... jeene marne ki izazat kaagaz ... pyar ki chittiyan bhi kaagaz ki ... kaam ki arziyan bhi kaagaz ki ... jashan mein jhandiyan bhi kaagaz ki ... jism ki mandiyan bhi kaagaz ki ... bane naaton ka bhi gawah kaagaz ... kahin shaadi, kahin nikah kaagaz ... kahin talaak ka gunah kaagaz ... banaye aur kare tabah kaagaz ... cheen le khet, ghar, zameen, kaagaz ... poche aankhon ki bhi nammi kaagaz ... har jagah yoon hai laazmi kaagaz ... jaise ghar ka hai aadmi kaagaz ... kuch nahi hai, magar hai sab kuch bhi ... kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi
Mera sarvanash karne woh parinda uthke aaya tha ... mujhe pakadne ke liye usne abhinay chakra chalaya tha ... parinde ko laga tha ki main is chakra mein mar jaaunga ... usse yeh nahi pata ki main yeh ghosla tabah kar jaaunga
Ashutosh Rana
Joh vaadiyon mein utar rahi hai gagan se aakar ... joh parvaton par bikhar rahi hai safed chaddar ... wohi toh main hoon ... joh in darakhton ke sabz patton pe khelti hai ... joh oos bankar har ek mausam ko jhelti hai ... wohi toh main hoon
Mandira Bedi
Duniya mein sadaa rehne ko aata nahi koi ... tum jaise gaye aaise bhi jaata nahi koi ... kyun marke bhi honthon pe hassi khel rahi hai ... sab jaante hai aur batata nahi koi ... dil pehle hi darta tha ki jal jayega daaman ... daaman se amar deep bhujata nahi koi
Tumko kya malum Shabnam guzarti kaisi hai meri raatein ... teri tasveer aankhon mein basaye bhatakta rehta hoon, karta hoon bas tumhari baatein ... tum shama ho Shabnam aur Manzoor parwana ... tumse lipatkar jalne ko tayaar hai deewana
Sonali Bendre
Haan mera dil keh raha hai main sar se leke paon tak, tere sandali badan pe mohabbat likh doon ... mera dil keh raha hai main tere surkh taraste hoton ki lali pe, apne labon ki shabnami shararat likh doon ... haan mera dil keh raha hai tere pajeb ki jhankar pe, tere bahon ki chandan haar pe, apni bechaini ki halat likh doon ... mera dil keh raha hai tere uljhe kesu savar in aankhon ke aaine mein, tera dulhan sa roop niharon ... is mahekti zameen ki sej pe apne armano ki chahat likh doon, mohabbat likh doon, mohabbat
Abhishek Bachchan
Neend uski hai, dimaag uska hai, raatein uski hai ... jiske baazu par teri zulfein pareshan ho gayi ... dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din ... behte rahen tasawur-e-jana liye hue
Har ek dil yahan ek dil talash karta hai ... wafaa ki, pyar ki manzil talash karta hai ... yahan parwane shama se kareeb hote hai ... haseen nazaron pe shehzaade shaheed hote hai ... yahan dil lene dene ki ada bhi kaatil hai ... yahan ke vaade bahut dil-nasheen hote hai ... joh bekaraar kare woh karaar kehte hai ... is bazar ko Meena Bazar kehte hai
Main chala, main chala kabhi is dagar kabhi us dagar ... saath mere chale zindagi ka safar
Chule ke angare jaise pehle tadpate haathon ko tab naseeb roti hoti hai ... jeevan saar yehi hai manwa tu kar, mat darr ... angaaron pe chalna hai sahi, yehi jeevan jyoti hai
Lagta hai tum aasman se tapki ho ... upar se neeche aakar zameen par chamki ho ... uparwaale ne kya super kaam kiya hai ... tujhe fursat mein bana diya hai
Woh Jackie Chan hai toh main Johnny Chan hoon ... woh Hong Kong hai toh main Hindustan hoon ... mujhe side nah de toh suicide hai ... mere left se bache toh right hai ... kai aaye kai marre, Johnny Chan se sabhi darre
Johnny Lever
Kaisa re baandha prem ka bandhan ... loot liya mera komal tann mann ... jaa ghar jaa tu dekh le darpan ... lagti hai burman ki lotan ... tu mera jogi main teri jogan ... main teri Rati tu mera Madan ... na main jogi na main Madan ... main toh hoon Raampur ka Lakshman
Randhir Kapoor
Dard ka ehsaas jinhe hota hai ro sakte hai ... gair ke ashq bhi daaman ko bhigo sakte hai ... neend aati nahi phoolon pe akalmandon ko ... prem deewane toh kaanton pe bhi soo sakte hai
Jabse dekha hai maine is daas ko ... na Shakespeare ko padha hai na Kalidas ko
Amjad Khan
Samajh samajhke samajh ko samajho ... samajh samajhna bhi ek samajh hai ... samajh samajhke na joh samajhe meri samajh mein woh nasamajh hai ... teri samajh hi samajh nahi hai, samajh parayi ko bhi toh samajho ... samajh parayi ko joh na samajhe ... meri samajh mein woh nasamajh hai
Satyendra Kapoor
Hamari shayari mein apne husn ka rang bhar do ... hamari awaaz ko apni adaon ka saaz do ... hamare tassavur ko zindagi bhaksh do
Rajendra Kumar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory