Aasunyon se keh do ab aankhon se behna chhod de ... in labon se keh do ab khamosh rehna chhod de ... apni chingari ki loh ko jalao doston ... dil mein joh barood hai usse jalao doston
Mallika Sherawat
Naalon se mere kab taho bala jahan nahi ... kab aasman zameen, zameen aasman nahi ... kehta hoon mooh se kuch main nikalta hai mooh se kuch ... kehne ko yun toh hai yeh zubaan, par zubaan nahi
Unknown
Lakeerein hai toh rehne do, kisi ne rooth kar gusse mein shayad kheench di thi ... inhi ko ab banao paala aur aao kabaddi khelte hai ... lakeerein hai toh rehne do
Mitt nahi sakti insaaniyat, mitte chahe insaan ... gupt neeti chalaye jitni chahe haivaan ... kehti hai yeh dharti, kehta hai aasman ... dharm rakshak hai sabse hi mahaan
Naseeruddin Shah
Zindagi bankar nasha kuch aaisi lehrai ki bas ... kya kahoon har saans ne woh aag badkai ki bas ... dillagi kuch der ki, haai ban gayi dil ki lagi ... baaton baaton mein yahan tak baat badh aayi ki bas
Sadhana Shivdasani
Fudak fudak tu chaal chale, naam tera hirni komal ... thumak thumak koole thumke, hum dekh rahe aankhen mal-mal ... daant tere bhutte dane, dil ched rahe hai naina chanchal ... yeh roop tera bhari bharkam, ham pyar kare ki lade dangal
Kader Khan
Janta ki roke raah, samay mein dhaav kahan ... singhasan khali karo ki janta aati hai ... do raah samay ki rath ka, ghar ghar naad suno ... singhasan khali karo ki janta aati hai
Anupam Kher
Aage hai zamana par bhook peeche peeche ... sari duniya ki baatein do roti ke neeche ... arre chamde ki jhopadiya mein aag lagi hai bhaiya ... barkha na bhujaye, bas bhujaye rupaiya ... aur phir bhi bhare na pet ... toh yaad aati hai yaaron Pari rice plate
Amrish Puri
Kriti ke pehle aaya hua vichar aur vichar ke baad waali kriti ... inke darmiyan aahuti joh maine di ... jin jin shanon mein main bhool gaya tha dehbaan ... jin jin shanon mein ulajh gaya tha kriti mein ... unhi shanon mein mujhe dikhai di tumhari sambhavna ki sampoorna akruti ... ho chuki hai ab meri kriti poori aur tumhari akruti bujh gayi
Om Puri
Batlaiye kya cheez hoon jisse jahan mehake hai ... lakh sambhalo magar baar baar behake hai ... ishq hai naam uska jisse jahan mehake hai ... tere sandeshe mein joh bulbul ki tarah chehke hai
Minissha Lamba
Jaldi se isse chhod ... varna aa jayega kahani mein ek naya modh ... ho jayegi shamshan ki taraf teri daud ... hai koi iska tera paas todh?
Shakti Kapoor
Jahan na jaaye ravi, wahan pahunche kavi
Shashi Kapoor
Gham ki badli mein chamakta ek sitara hai ... aaj apna ho na ho par kal hamara hai ... humko gairon ka nahi apna sahara hai ... aaj apna ho na ho par kal hamara hai ... gardishon se haarkar o baithne wale, tujhko khabar kya apne pairon mein bhi hai chaale ... par nahi rukte ki manzil ne pukaara hai ... aaj apna ho na ho par kal hamara hai ... yeh kadam aise joh sagar paat dete hai ... yeh woh dhaarayein hai joh parvat kaat dete hai ... swarg un haathon ne dharti par utaara hai ... aaj apna ho na ho par kal hamara hai ... sach hai, dooba sa hai dil jab tak andhera hai ... is raat ke us paar lekin phir savera hai ... har samundar ka kahin par toh kinara hai ... aaj apna ho na ho par kal hamara hai
Pehli mulaqat mein hi hum kitne kareeb the ... kabhi ajnabi ban jayenge yeh socha na tha ... mohabbat mein dooriyan bhi maza deti hai yeh suna tha magar ... itne faasle ho jayenge yeh kabhi socha na tha
Himesh Reshammiya
Zindagi luta doon joh ek baar tu muskura de ... kuch nahi mera sab kuch teri hassi ke aage ... aankhon ki yeh nammi tere gham yeh sabhi, aaja dede mujhe meri jaan ... kareeb aa, kareeb aa ... sach kahunga main ... tera saath doonga main ... koi mushkil ho sab kuch sahunga main ... raaste, faasle, keh rahe hai sun bhi le ... tere saath rahunga main ... tere saath rahunga main
Sonu Sood
Mehakte lafzon ko ghazalon mein dhaal sakta hoon ... main kagazon se bhi khushboo nikaal sakta hoon ... tu meri jeb mein rakhe huye kalam pe na jaa ... main waqt aane pe chaaku bhi nikaal sakta hoon
Shayari mein aur ishq mein farak nahi hai pyare ... dono hi mein shuruvaat mein lafz se sirf wah-wah nikalti hai ... aur jab gehrayi mein jaao toh dil se aah-aah hi nikalti hai
Shayari ki rooh alfaaz nahi, jazbaat hai ... logon ke dil mein utro toh baat hai
Tum toh nakhat ho, dheet, besharam nandlala bade ... sada seenazori kari, pajori kari, tann ke vastruyon ki haaye aaj chori kari ... vastra dedo, tumse na kabhi paala pade ... tum toh nakhat ho, dheet, besharam nandlala bade
Main yahan aaya kyun, why why why ... acha ab chalta hoon, bye bye bye ... haaye hukku, haaye hukku, haaye haaye ... yeh Tulsi mere saamne mere dil liye jaaye jaaye
Varun Dhawan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory