Shayad sach hamare rishtey ko jodh na paye ... lekin jhoot isse zaroor todh dega
Karan Singh Grover
Imaandari kitni bhi bewakoof ho ... aakhir ek din uski tarakki zaroor hoti hai ... aur baimaani kitni bhi chalaak ho ... ek din usse jail mein zaroor jana padta hai
Sadashiv Amrapurkar
Jhoot do kisam ke hote hai ... ek bhalai ke liye aur ek burai ke liye
Salman Khan
Jab sach se ladne ki taqat na ho ... toh jhoot ka sahara lena padta hai
Samir Soni
Sach aur jhoot sirf dekh ke nahi jana ja sakta ... uske liye dil ki kasauti chahiye
Sanjeev Kumar
Koi sach ka sahara leta hai toh koi jhooth ka ... maine ittefaq ka sahara liya
Sidharth Malhotra
Yeh duniya jhoot ke paiyon par chalne waali woh gaadi hai ... jis mein petrol ki jagah gareebon ke armaan jalte hai
Govinda
Confidence ke saath bolo na ... toh film industry jhoot ko bhi sach maan leti hai
Divya Dutta
Insaan ko hamesha dhoke ki umeed rakhni chahiye ... do hi cheezein pakki hai ... dhoka aur maut ... sabhi ko zindagi mein kam se kam ek baar toh naseeb hoti hi hai
Aamir Khan
Har ek kutro wafadar hoye chhe ... par aaiyan toh maaroich wafadar kutro nikdo
Jackie Shroff
Jis insaan ne pehli baat jhoot se shuru ki ho ... usse kisi aur ko jhoota kehne ka koi haq nahi hai
Pooja Bedi
Is desh mein hum kuch bhi kar sakte hai ... nakli promoters use kar sakte hai ... police ko rishwat de sakte hai ... media ko dhamka sakte hai, logon ko khareed sakte hai, kuch bhi kar sakte hai ... bas ek rule hai ... pakde nahi ja sakte
Ram Kapoor
Is Madhuri ke saath ek do teen karne ka mauka mile na ... toh koi ek kya, do teen biwiyon ko bhi dokha dede
Sharman Joshi
Tere vaade pe jaye toh yeh jaan jhoot jana ... ki khushi se mar na jaate agar aitbaar hota
Shreyas Talpade
Pati patni joh saat kasme khate hai na ... ki woh ek doosre ke saath rahenge, ek doosre ko khush rakhenge, ek doosre ko cheat nahi karenge ... un saat kasmo ko hum khud likhenge apne mann se ... chaar kasme tum likhna aur teen kasme main likhoongi
Esha Deol
Is shehar ki barsaat ka, neta ki baat ka aur producer ki zaat ka ... kabhi bharosa nahi karna chahiye ... kyun ki yeh sab jhoot bechte hai
Imaandaro ke saath imaandari ... baimaano ke saath baimaani
Amitabh Bachchan
Jhoot pe jhoot ... jhoot pe jhoot ... teri maa ki
Arshad Warsi
Tune mere peeth pe chura bhoka hai
Unknown
Ek Indian businessman wohi hai joh seedha bhi ho aur tedha bhi ... joh aastik bhi ho aur nastik bhi ... joh kapti bhi ho aur sacha bhi ... sab kuch ek saath
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory