Imaandaar woh hai jisse baimaani karne ka mauka na mila ... aur begunah woh hai jisse jurm karne ka mauka na mila
Emraan Hashmi
Main paidahishi imaandar hoon ... baimaan ki maut marna mere liye beizzati hai
Ranjeet
Chaukidar kare chaukidari, wafaadari toh kutta bhi karta hai ... joh kare biwi se bewafai, usse wafaa toh kutta bhi nahi karta hai
Sanjay Dutt
Bhagwan ne insaan ko banaya hi aaise hai ki jab tak woh zinda hai ... usse jhoot aur lobh aur moh se koi mukti nahi
Dev Anand
Pati patni joh saat kasme khate hai na ... ki woh ek doosre ke saath rahenge, ek doosre ko khush rakhenge, ek doosre ko cheat nahi karenge ... un saat kasmo ko hum khud likhenge apne mann se ... chaar kasme tum likhna aur teen kasme main likhoongi
Esha Deol
Jhoot bolna ho toh aankhen band kar liya karo ... kyun ki woh sach bolti hai
Bobby Deol
Is shehar ki barsaat ka, neta ki baat ka aur producer ki zaat ka ... kabhi bharosa nahi karna chahiye ... kyun ki yeh sab jhoot bechte hai
Govinda
Happy married life ke liye chote chote jhoot bolne padte hai
Ram Kapoor
Ishwar sab ko dhokha de sakta hai lekin maa ke dil ko nahi
Unknown
Rajasthan mein oonth chalta hai par kisi ka jhoot nahi chalta
Jhooth ko sach banane ke liye saboot ki zaroorat hoti hai ... sach toh khud ek saboot hai
Ajay Devgan
Jhoot ki raakh se sachai ki aag ko nahi bhujaya jaa sakta
Dharmendra
Joh zanjeeron mein jakde hote hai woh hamesha gaddar nahi hote ... aur joh oonchi kursiyon par behte hote hai woh hamesha wafaadar nahi hote
Pran
Jhoot ki zubaan lambi hoti hai ... umar nahi
Sanjeev Kumar
Jurm ki duniya mein wafaadar dost ... kabhi bhi gaddari kar sakta hai
Raza Murad
Jhoot ke chehre par naqab nahi rukta
Insaan joh bane, jab bane, yog se bane toh sach hai ... swarth aur kamzori ke karan mahatma ka roop bhi dharan kare toh jhoot hai
Sudhir Dalvi
Agar kisi nek kaam ke liye jhoot bolna padhe ... toh woh jhoot sau sach ke barabar hai
Roz sach bolta hoon toh pitai ... aaj pehli baar jhoot bola toh mithai
Anil Kapoor
Yeh duniya ek akhada hai ... jhe ma sach aur jhooth naam ke dui pehalwan lad rahe hai ... aur jab tak sach naam ka pehalwan jhooth naam ke pehalwan ko pachaad nahi deta ... tab tak yeh ladai jaari rahegi
Pankaj Tripathi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory