Jis tarah jhoot jhoot chilakar sach ko jhoot nahi banaya ja sakta ... us hi tarah sach sach chilakar jhoot ko sach nahi banaya ja sakta
Sanjeev Kumar
Mumbai mein har doosra aadmi traffic ke naam pe jhoot bolta hai
Emraan Hashmi
Jhoot ki boo tumhari baat mein hai ... lao koi gawah saath mein hai?
Prithviraj Kapoor
Mere har jhoot ki niyat sachi hai
Priyanka Chopra
Agar jhooti kahaniyon ko sache mann se kaho na ... toh sachi lagti hai
Unknown
Jhoote saboot kitne bhi mazboot ho ... jhoote hi hote hai
Sunny Deol
Jiske dil mein daga aa jaati hai na ... uski aankhon mein daya kabhi nahi aati
Dilip Kumar
Baimaani ka dhanda bhi main imaandari se karta hoon
Shahrukh Khan
Dhokhe ki khaasiyat hoti hai ... usse dene wala aksar koi khaas hi hota hai
Manoj Bajpai
Maa jab jhoot bole na ... nahi achchi lagti
Shahid Kapoor
Yeh sach hai ki maine tumse jhoot kaha ... par yeh bhi sach hai ki maine tumse mohabbat ki hai
Hrithik Roshan
Jhoot main bol nahi sakta ... aur sach tum pakad logi
Saif Ali Khan
Agar yeh jhoot hua ... toh yeh tumhara aakhri jhoot hoga
Jis rishte ki buniyaad jhoot hai, fareb hai ... usse ret par bane mahal ki tarah dasna hi hoga
Akshay Kumar
Is duniya mein agar tum sach dheere se bologe toh koi nahin manega ... aur agar jhoot, jhoot chila chila kar bologe toh sab maan jaate hain
Aditya Pancholi
Purani cheezein kabhi dhokha nahi deti
Tulip Joshi
Haan main cheating karta tha, par sirf khel mein ... tune toh zindagi ko khel samajh ke mujhe cheat kar diya
Amitabh Bachchan
Yeh kursi bhi bewafaa mehbooba ki tarah hai ... aaj iski toh kal uski
Bharat Kapoor
If you lie, you die!
Paresh Rawal
Jis jhoot se ghar basta hai ... woh ghar, ghar nahi hota
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory