Joh izzat, shradha, pyar ek beti de sakti hai ... woh ek beta kabhi nahi de sakta ... lekin main yeh bhool gaya tha ... joh sharmindgi, joh zalalat ek beti de sakti hai ... woh bhi ek beta kabhi nahi deta
Tu kal bhi badtameez tha ... tu aaj bhi badtameez hai
Duniya mein shayad hi aise koi maa baap honge joh apni aulaad ko zakhm dena chahenge ... lekin na jaane kitni aisi anginat aulaadein hai ... joh apne maa baap ka seena zakhmon se challi kar dalti hai aur uff tak nahi karti
Meri pahunch Delhi se lekar shamshan ghat tak hai ... awaaz Delhi tak jaati hai aur dushman shamshan tak chala jaata hai
Waqt aur kismat badalne mein derr nahi lagti
Aurat aur sharab ka mila-jula nasha aaisa nasha hai ki ... bade bade sultan barbad ho gaye
Daam lagane se keemat chukane ke beech ... sirf saudebaazi ka faasla hota hai
Aainda khayal rakhna ki josh mein zabaan na ladkhadaye ... warna apne hosh kho baithoge
Hamare dhande mein kisi ek ki kamzori ... doosre ki taqat ban jaati hai
Yeh chor aur police ki joh dosti hoti hai na badi mushkil se hoti hai ... aur jab hoti hai toh atoot hoti hai
Lotia jab deta toh ehsaan nahin karta ... aur jab leta hai toh lihaaz nahin karta
Woh maar maroonga tujhe ... joh shaitan ne apni sauteli aulaad ko bhi nahi maari hogi
Imaandari se chori karne mein ... chori pakdi nahi jaati
Apni beti ko toh main sirf is desh se door bhej raha hoon ... magar aaj ke baad Sapna ka naam bhi teri zubaan pe aaya ... toh main tujhe zindagi se door bhej doonga
Aankh ke badle aankh, haath ke badle haath, jaan ke badle jaan ... aur bhai ke badle behen
Daulat mein hi woh taqat hai joh har sapna, har umeed, har umang ko haqeeqat mein dhaal sake
Woh insaan kamzor hote hai joh apni zindagi ko sasti auraton ke saath guzaarte hai
Ghar se niklo toh jeb mein pata rakhke niklo ... haath se chehre ki pehchaan mitta dete hai
Main pehle sirf kal hi ki soochta tha ... aur ab bahut door ki soochne laga hoon
Tujhse ghayal hone mein toh bahut mazaa aayega
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory