Jab dost ke irrade pakke ... toh dushman ke chutte chakke
Chunky Pandey
Dushman chatt ke neeche aa jaye ... toh mehmaan ban jaata hai
Dara Singh
Tu toh apne saathiyon ko bhi dokha de sakta hai ... lekin main apne dushman se kiye huye vaade ko bhi poora karta hoon
Amitabh Bachchan
Aadmi apna dukh toh phir bhi bardaasht kar leta hai ... lekin apne dushman ka sukh ... hum mein choor choor kar deta hai
Ashutosh Rana
Zindagi mein jitne chahe dushman bana lena ... magar kabhi kisi ko apna dost nahi banana ... kyun ki dost ek aisa naag hai jis logon ko peekar jeeta hai ... ek din apna saara zehar us hi logon mein bhar deta hai
Govinda
Fakira khada dukaan par, maange sabki khair ... na kahu usse dosti, na kahu usse bair
Mehmood
(Kaun ho tum?) ... Kahi naam hai mere ... gareeb maa baap mujhe apna beta kehte hai, mazloom ladkiyan apna bhai ... besahare yateemon ka dost hoon aur zalimon ka dushman
Rajesh Khanna
Hamare dhande mein dushman khatam nahi hote ... mehmaano ki tarah ek jaata hai toh doosra chala aata hai
Rami Reddy
Purana kaam chhodne se purani dushmani nahi choot jaati
Sharat Saxena
Qatta kijiye na taluk humse ... kuch nahi hai toh adawat hi sahi
Saira Banu
Apne raaste se kaanto ko hata dena aur dushmano ko mita dena ... hamare khandan ki parampara hai
Amrish Puri
Dushman jab humdard bankar aaye toh unki baaton se sachai nahi ... jhoot ki badbu aati hai
Mithun Chakraborty
Dushman ko maarne ke liye hosh aur awaaz chahiye ... josh aur junoon nahi
Gulshan Grover
Fakira jama nadi mein, sabki maange khair ... ho gayi dosti Mahesh se, ab na raha khandan ka bair
Dhumal
Saanp ke bil mein ghuskar zeharilay phanon se dushmani nahi lete ... varna khoon ke saath zehar bhi dil mein ghus jayega
Dushman ke paas agar taqat ke saath saath dimaag bhi ho ... toh vaar uske haath pe nahi, gardan pe karna chahiye
Pyar aur dushmani mein ek hi kadam ka faasla hove hai
Bharat Kapoor
Rajneeti mein dushman ko ya toh doshi banao ... ya toh misaal
Rohini Hattangadi
Dushmano ke jism par karna nahi hum mein prahaar ... achook nishana saad karenge seedha unke dil par vaar ... satyagraha ke aage unko natmastak hona hi hoga ... chhod ke Bharat jayenge woh hokar bebas aur lachaar
Unknown
Aakhri waqt pe toh dushman bhi saath deta hai
Ajay Devgan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory