Faujiyon ko do hi cheezon ka toh intezar rehta hai ... dushman ki goli aur ghar se aayi chitthi
Sonu Sood
Hamare business mein dushman jitne kam ho ... utna hi business badta hai
Bobby Deol
Khwaab kabhi na poora hoga dushman ke armaan ka ... dekhen kaise paar kare woh border Hindustan ka
Sudesh Berry
Nagin dushman ko maarne ke liye kabhi kabhi insaan ka roop dharan kar leti hai ... lekin tumhare jaisa insaan ki shakal mein naag aaj tak pehda nahi hua
Feroz Khan
Dushmani karo toh dushman ko raaste ka bhikhari bana do ... taaki woh haath failaye, haath utha na sake
Paresh Rawal
Jab main dushman ke saath haath milata hoon ... toh uske haath ki jeevan rekhayein mitt jaati hai
Sunny Deol
Agar hasratein aukaat se zyada badh jaye na ... toh tabahi ke liye dushman ki zaroorat nahi padti
Jab dushman ko hara na sake aur khud ki haar manzoor na ho ... toh ek hi raasta bachta hai ... sulah
Sharad Kelkar
Jab maa baap pyar ke khilaaf hote hai toh pyar ke dushman nahi ... balki pyar ko aur mazboot karte hai
Suresh Oberoi
Saale tune bhi dushmani ki laash par khoob dosti ka kafan pehnaya hai
Ranjeet
Neetu Singh jab koi mission par nikalti hai toh kafan apne saath lekar chalti hai ... ya toh dushman ko pehna deti hai ... ya khud pehenkar desh par shaheed ho jaati hai
Tabu
Dosti ki tarah dushmani bhi ek tarfa nahi hoti ... dono taraf se hoti hai
Jackie Shroff
Jab ek ki doosre se ranjish ho, usse dushmani kaha jaata hai ... aur jab do yodha mil jaye, usse jung ka elaan
Hum mein lagi hai joh thokar, tu muskurata hai ... yeh waqt woh hai, ki dushman bhi raham khata hai
Unknown
Dushman ke ghar mein daakhil hone ke liye ... tameez ki nahi taqat ki zaroorat hoti hai
Milind Gunaji
Dushman lakh bura chahe toh kya hota hai ... wohi hota hai joh manzure khuda hota hai
Agar koi mujhse pooche ki is duniya mein mera sabse bada dushman kaun hai ... toh main kahoonga tu ... sabse zyada nafrat main kisse karta hoon ... toh main kahoonga tujhse
Ajay Devgan
Mere dushman ne yeh socha hi nahi tha shayad ... yeh diya baad-e-fanaa se bhi bhadak sakta hai ... usko quwwat pe takabbur hai mujh ko yakeen ... dast-e-haq baazu-e-qatil ko jhatak sakta hai ... mere jallad ko yeh maloom hi nahi hai shayad ... yeh dil dast-e-ajal mein bhi dhadak sakta hai
Dosti bhulayi ja sakti hai ... dushmani nahi
Vinod Khanna
Dil insaan ka sabse bada dost bhi hai ... dushman bhi
Nanda
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory