Bhaagne ki koshish mat karna
Unknown
Paise se dushmani badh sakti hai ... pan dushmani se paisa nahi badh sakta
Agar samne wale ke andar darr pehda karna hai na ... toh apne andar ka darr nikalna hota hai
Gurmeet Choudhary
Duniya mein sabsi gehri dushmani miya biwi ki hoti hai
Naseeruddin Shah
Hindustani aadmi ka imaan koi paan supari nahi ki khaya aur thook diya ... dushman ki gardan pakad leta hai yeh imaan ... aur tab tak nahi chhodta jab tak ki dushman ke pran na nikal jaaye
Aamir Khan
Jiska dushman zinda hai, uski maut zinda hai ... jisne apne dushman ko maar diya, usne apni maut ko maar diya
Rahul Dev
Mazloomon ke liye dhaal hai hum, dushmanon ke liye kaal hai hum ... awaaz se duniya tharaye, woh Guru Gobind Singh ke lal hai hum
Aditya Pancholi
P.C. Mathur jisse dushmani karta hai ... uski jhadon ko khood kar hamesha ke liye khatam kar deta hai
Kulbhushan Kharbanda
Dushmano ko maaf karna insaaniyat hai ... lekin makkaron ko maaf karna bewakoofi hai
Amitabh Bachchan
Kabhi kabhi dushman ki zindagi ... uski maut se zyada faydemand hoti hai
Amjad Khan
Hum doston se daant ke aur dushmano se pyar se baat karte hai
Anil Kapoor
Aaj hoga mere aakhri dushman ka khaatma ... aur phir kehlaunga main is duniya ka vishwatma
Amrish Puri
Agar hum pul, sadak, hawai adde banakar duniya ke ek kone ko doosre kone se jodh sakte hai ... toh apne dushman ko duniya ke kisi bhi kone se uthakar todh bhi sakte hai
Ranbir Kapoor
Joh haath aasman choomti imaratein banate hai ... joh haath loha pighlate hai ... woh dushman ke gale tak bhi jaate hai
Aadmi ka dushman aadmi nahi hai ... uski apni paristhithi hoti hai
Dushman ko bhi jail ki zindagi mile na kabhi ... ja tujhe zindagi mubarak, hum bhi niklenge kabhi na kabhi
Jis tarah chalaang lagane ke liye khiladi ko peeche aana padta hai ... ussi tarah dushman ko jadh se ukhaadne ke liye kabhi jhukna bhi padta hai
Dalip Tahil
Ghar aaye mehmaan ko salute dekar uski izzat karna hamare desh ki parampara hai ... aur dushman ke ghar mein ghuskar usse phoond dena hamari army ki shaan hai
Mithun Chakraborty
Nadan dost se samajhdar dushman achcha hota hai
Shankar jab gale se gaa sakta hai ... kahin khopdi ghumi na ... toh dushmanon ko jalakar khaak bhi kar sakta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory