Joh kam bolte hai, woh aksar khatarnak hote hai ... is liye chalak aadmi ko khamosh dushman se hamesha hoshiyar rehna chahiye
Paresh Rawal
Doctor bimaari se ladta hai ... bimaari uski dushman hai
Amitabh Bachchan
Agar lamba jeena chahte ho toh dushman ki izzat karna seekho ... chahe woh kitna bhi kamzor kyun na ho
Vidyut Jamwal
Aashiq aur waqt ki badi hi dushmani hai ... jab insaan aashiq ban jaata hai toh waqt kat'ta nahi hai
Unknown
Dushmani ki talvar ki dhaar ek taraf nahi hoti hai ... dono taraf hoti hai
Rakhee Gulzar
Jab koi dushman dushmani ka chola pehenkar samne aata hai toh pehchana jaata hai ... lekin jab koi dushman apno ka chola pehenkar samne aata hai toh badhe badhe dokha khakar reh jaate hai
Anupam Kher
Balraj apne dushman ko us waqt tak nahi bhoolta ... jab tak usse shamshan tak nahi pahuncha deta
Amrish Puri
Yeh dosti ka haath maut ka panja tab banta hai ... jab hum dushmani pe utar aate hai
Kiran Kumar
Dushman ko harane ka mauka aksar dushman humko khud deta hai
Akshaye Khanna
Dushman ko dushmani se hi nahi ... dosti se bhi maara ja sakta hai
Bharat Bhushan
Sari umar gavah di kamane mein paisa ... aur bad mein yahi saala paisa ban gaya apne dushman jaisa
Kader Khan
Todne se nahi ... dushmano ko jodne se taqat banti hai
Vivek Oberoi
Hai liye hathyar dushman taak mein baitha udhar ... aur hum taiyaar hai seena liye apna idhar ... khoon se khelenge Holi, ghar watan mushkil mein hai ... sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
Sharad Kelkar
Jaise sher ki aankhon mein dekhkar uska shikaar apni jagah se hil nahi sakta ... waise hi mere dushman meri izaazat ke bagair kahin nahi jaa sakta
Danny Denzongpa
Jab tab Bhavani Maa ka saaya mere saath hai ... dushman toh kya janam dene waala bhi nahi maar sakta
Waqt aane par na dushman ko chhodna chahiye ... na saanp ko dekhkar laathi ko todna chahiye
Utpal Dutt
Maut roz toh nahi aati, sirf ek baar aati hai ... aur uska din aur samay bhagwan muqarar karta hai ... darwaaze pe cheekne waala dushman nahi
Sunny Deol
Ek nadaan dost se achcha hai ek chalaak dushman
Mohan Joshi
Saanp apne dushman ki tasveer apni aankhon mein utaar leta hai ... Bond apne dushmanon ka nishaan apne baazu saja leta hai ... apna apna style hai
Akshay Kumar
I don't know woh kaun hai aur yeh sab kyun kar raha hai ... lekin ek baar uska pata chal jaye toh usse nafrat karne ki sahi wajah de doonga
Sanjay Dutt
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory