Bewakoof dost se samajhdar dushman zyada achcha hota hai
Milind Soman
Joh ghar se kafan baandkar nikalte hai ... woh apna nahi dushman ka naam yaad rakhte hai
Ajay Devgan
Joh usoolon ke raaste pe chalte hai ... unke dost kam hote hai aur dushman zyada
Jackie Shroff
Mainu Delhi nahi le jana ... mera chitta singhasan yahin banana ... mera mooh dushman var rakhna jab mainu aag lagana ... humne nahi seekha dushman ko peeth dikhana ... mere shastra mere saath sulana ... amrit kande taar da mere mooh vich paana ... "Bole So Nihal" da nara lagana ... main markar bhi ladunga, mera bhog na paana
Aditya Pancholi
Dushmani ko khareedne kahi jana nahi padta ... aur dosti kisi bhi keemat pe nahi milti
Raj Kapoor
Humne dekhe hai bahut dushmani karne waale ... waqt ki har saans se darne waale ... jiska haami hai khuda, kaun usse maar sake ... hum nahi bomb aur barood se marne waale
Raaj Kumar
Mujhse dosti karoge toh uski poori keemat milegi tumhe ... aur agar dushmani karoge toh uski keemat chukani padegi
Danny Denzongpa
Ek fauji is liye jung nahi karta hai kyun ki woh samne wale se nafrat karta hai ... woh jung is liye karta hai kyun ki jinko woh peeche chhod aaya hai na ... unse woh pyar bahut karta hai
Sonu Sood
Bhook hai, thakaan hai, dard ki pehchaan hai ... dushman jahaan hai, mann bhi pareshaan hai
Shahrukh Khan
Dosti ya dushmani, jab tak jam ke na ho ... mazaa nahi aata
Naseeruddin Shah
Secrets are the enemy of love ... yeh baat samajhne ke liye bahut badi keemat chukayi hai maine
Kriti Kharbanda
Insaan hi insaan ka sabse bada dushman hai ... insaan hi insaan pe zulm karta hai, usse lootta hai, uska ghar ujhaad deta hai
Sunny Deol
Mohabbat karne waalon ke maula saath hai ... aye dushman teri kya taqat, teri kya aukaat hai
Unknown
Kisi bhi insaan ke prati dushmani, khud ke prati dushmani hoti hai ... is liye dushman ko bhi apna dost maan lo
Om Puri
Apun ki parchai maut ka pehghaam lati hai ... apun ki awaaz jung ka elaan karti hai ... aur apun ki maujoodgi sare bazar dushman ko nanga karti hai
Mithun Chakraborty
Jinki ragon mein Rajputi khoon hota hai ... unke jism par dushman ke diye hue ghaav toh hote hai ... lekin unki talwar kafan ki tarah kori nahi hoti
Ajit Khan
Agar samay manushya ka mitra ban gaya, toh jeevan mein bahut upar pahunchata hai ... lekin agar shatru ban gaya, toh hamesha ke liye upar pahunchata hai
Amole Gupte
Mera naam hai Mahakaal ... Kali ka pujari hoon main ... libaz bhi kaala, dhanda bhi kaala aur dushmanon ko joh kafan pehnata hoon uska rang bhi kaala
Jaani dushman samajh loon aaisi nahi hai tu ... magar joh maine samjha tha waise bhi nahi hai tu
Shatrughan Sinha
Agar hum mein himmat hai, agar hum mein hausla hai ... toh dushman hamara kuch nahi bhigaad sakta ... jism tootte, lekin hausla na tootte
Amitabh Bachchan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory