Tum sach ko sapna samajhke bhula dena chahti ho ... lekin main us sapne ko sach karna chahta hoon
Aftab Shivdasani
Woh sapna kya sapna hai, joh sirf sooke dekha jaaye ... sapna toh woh hona chahiye, joh neendein udda de
Sanjay Dutt
Zaroorat toh kabhi khatam nahi hoti ... mauke khatam ho jaate hai, sapne khatam ho jaate hai, yeh saali zindagi khatam ho jaati hai ... lekin zaroorat hi hai joh kabhi khatam nahi hoti
Emraan Hashmi
Postcard shot hai tumhari aankhen ... perfect ... khwaab dikha deti hai logon ko ... joh bhi inhe dekhta hai apne aap ko dhoondta hai in mein
Saif Ali Khan
Yeh woh lamhe hai jin mein maine tumhari saanson ko chua hai ... jin mein maine ek bahut haseen sa khwaab dekha hai ... yeh lamhe kabhi guzar nahi sakte
Arjun Rampal
Sapno ke bina kisi cheez ka point nahi hota hai ... na sone ka, na jaagne ka, na jeene ka, na marne ka
Unknown
Khwaab kabhi na poora hoga dushman ke armaan ka ... dekhen kaise paar kare woh border Hindustan ka
Sudesh Berry
Aurat ke dil ke andar joh jhankkar uske har khwab ko dekh sake ... wohi uska asli haqdaar hota hai
Ajay Devgan
Zindagi mein bada aadmi banne ka sapna maine dekha hai ... usse saakar karne ke liye joh keemat chukani padegi woh bhi main hi chukaonga
Govinda
Woh toh chale gaye, chhod gaye apni yaadein ... kuch adhoore sapne, kuch adhoore vaade
Priyanka Chopra
Kholo kholo apni aankhen aur gaur se suno ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon ... ek boond suraj ki, ek qatra aasman ka, koyal ki aadhi kook aur kuch jagmagate sapne ... achcha lage toh aur maango ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon ... aasman sa aaina, ek dibbi titliyon ki, ek chamach nadi ki dhar aur ek mutthi zindagi ... achcha lage toh aur maango ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon
Udita Goswami
Tumhare intezaar mein aasoon bhi sookh gaye ... joh sapne sanjoye, sare toot gaye
Karisma Kapoor
Tumse milne ke baad maine bhi ek sapna dekha tha ... tumhare har sapne ko sach karne ka sapna
Sapne toh sabi dekhte hai ... lekin sirf wohi sapna sakaar hota hai ... joh lakh samjhane par bhi insaan bhulana nahi chahta
Aamir Khan
Jab tab main apne sapno ke saath poori tarah khel na loon ... unhe bechta nahi
Joh sapne dikhata hai ... woh kabhi kabhi sapno ke saath neend bhi cheen leta hai
Aditya Narayan
Jinki aankhon mein manzilon ke khwab hote hai ... woh shikast aur haar ki baatein nahi kiya karte
Sapno aur sachai mein bahut farak hota hai ... sapne toh ghar ke andar hote hai aur sachai toh darwaze pe dastak deti hai
Ameesha Patel
New York mein jabhi bhi koi sapna tootta hai na ... toh ek taxi driver paida hota hai
Javed Jaffrey
Mumbai ... ek aaisa station jahan koi bhi musafir kabhi akele nahi utarta ... uske saath koi na koi sapna zaroor utarta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory