First impression izz last impression
Abhe marre huye kauve ke pankh
Yeh Mumbai hai, yahan har cheez dikhawa hai jise hum showmanship kehte hai ... sajawat hai jise hum publicity kehte hai ... aur banawat hai jise hum marketing kehte hai
Imaandari se zyada zaroori hai dukaandari
Jab gareeb ka dil roh uthta hai ... toh apne hosh kho beheta hai
Janam ka pata nau mahine pehle chal jaata hai ... magar marne ka pata nau second pehle bhi nahi chalta
Bacha apni maa ki maar khake bada hota hai ... lekin apni maa ko maarne waala bacha tabah hota hai
Main aapke ek ek paap, ek ek jurm ka pata lagaonga ... aur jab tak police aapko adalat nahi le jaati aur adalat aapko jail nahi bhejti ... main likhunga, main chaapunga
Bade ghar ka damaad banna, jaise topi ko sar se utaar ke pairo mein pehenna
Baimaani, kala bazaari, rishwatkhor log lakh gaaliyan sunkar bhi aasani se is duniya mein jee lete hai ... magar joh log sachche hote hai na ... woh jhoote ilzaam ka ek shabd bhi nahi sun sakte hai
Jis tarah tumne doosron ka khoon bahaya hai ... waise hi ek din tumhare apno ka khoon bahega ... kyun ki woh saari goliyaan joh tumne doosron ke seeno par chalayi hai ... koi ek din tumhare apno ke seene par chalayega
Joh akela khelta hai, woh team ke khilaf khelta hai
Sapno ke saath do hi baatein hoti hai ... ya toh poore hote hai, ya toot jaate hai
Janam din par khush rahogi ... toh saal bhar khush rahogi
Kisi bhi cheez ko khud apne aankhon se na dekhne ka sabse bada khatra yahi hota hai ... ke dil aur dimaag usse sach maan leta hai
Amir banne ke liye zaroori hai lalach
Agar main tere liye mar sakta hoon ... toh tujhe maar bhi sakta hoon
Roz sach bolta hoon toh pitai ... aaj pehli baar jhoot bola toh mithai
Hum toh gulaab lene gaye the ... yahan toh guldasta hi haath mein aa gaya
Sach ko sach banane ke liye do logon ki zaroorat hoti hai ... ek joh sach bol sake aur doosra joh sach sun sake
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory