Truth and justice need no caste, creed or nationality ... let truth and justice prevail
I am speaking in English fully ... sahi galat ko maaro goli ... I am wearing a suit tanatan ... underwear is phir bhi Indian ... I am villain of old tradition ... this my dear fellow iz my tashan
Meri premika kisi ki patni bhale hi ban jaye ... kisi ki patni meri premika kabhi nahi ban sakti
Ek lawyer se kabhi madad nahi mangni chahiye ... bad manners
Amir aadmi bada banne ke baad ... black se white ho jata hai
Aashiq se bada sust janwar maine aaj tak zindagi mein nahi dekha
Hum dard bechte hai, khareedte nahi hai
Jaise ek ajeeb sa caterpillar beautiful butterfly ban jaata hai ... biwiyon ka ulta hai ... woh butterfly se caterpillar ban jaati hai
Dabake rakhna theek nahi hai ... na emotion, na motion
Pehle din Meena, doosre din Tina, teesre din Reena aur aaj yeh nagina
Aadmi ko khel wahi khelna chahiye ... joh achchi tarah khelna aata ho
Dharam ka asli matlab prem ke alava kuch aur ho hi nahi sakta
Ehsaas sirf dil mein yaadon ke diye jalate hai ... dilon ke beech nahi aate
Joh log khudse nahi darte ... yeh samaaj ussi se darta hai
Bhagwan ka banaya hua sansar ek aisa bazaar hai ... jahan insaan ka kiya hua hisaab usse yahin chutta karke jaana padta hai
Joh mard apne pyar ke bandhan ki hifazat nahi kar sakta, woh mard nahi ... joh aurat apne pyar ke bandhan ko todna chahti hai, woh aurat nahi
Kriya karam ka samaan koi bhi khareed ke laye ... magar kaam uske aata hai jiska waqt aaya ho
Chhoton ko badhon ke samne cigarette nahi peeni chahiye ... aur taqatvar ko kamzor pe zulm nahi karna chahiye ... is liye agar koi cigarette peeye toh usse bhuja do ... aur koi zulm kare toh usse mitta do
Kisi masoom ka khoon karne se pehle, do second ke liye apne bachchon ke bare mein socho ... kabhi kisi ka khoon nahi kar paoge
Insaan toh is duniya mein ek doosre ki hamdardi ke liye hi paida hua hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory