Tumhare aur hamare beech sirf ek hi cheez ka batwara ho sakta hai ... aur woh hai tumhare hisse ki maut
Danny Denzongpa
Baap ke kandhe ke barabar jab bete ka kandha ho jaata hai ... toh woh baap ki zimmedari aur jawabdari dono ka bhoj uthane ke kabil ho jaata hai
Anil Kapoor
Bambai mein kaam kam hota hai hartaalein zyada hoti hai ... kabhi taxi waalon ki hartaal, kabhi bus waalon ki hartaal, kabhi mill waalon ki hartaal ... aur kabhi hartaal ka kaaran na milne par hartaal ko practice karne ki hartaal
Asrani
Baimaani ke dhande mein imaandari se kaam nahi karne waalon ka anjaam bahut bhayanak hota hai
Kiran Kumar
Tu toh meri umeedon ka junction hai ... dil se dil ka relation hai, connection hai, attraction hai, action hai, reaction hai ... yane ki tu meri mohabbat ka main station hai
Rishi Kapoor
Shaq ka kaante bahut zeharilay hote hai ... joh do dilon ke beech dooriyan bhi pehda kar dete hai aur dushmani bhi
Pehankar police ki yeh vardi hum ghalib tamasha-e-ahle-karam dekhte hai ... chaman ko ujhadte kahi baar dekha, par aaj is club ka hashar dekhte hai
Harish Patel
Kal yeh inaam dekh sari duniya baimaan ho jayegi ... toh harjai ko yakeen hai, kal sari khudai be-imaan ho jayegi
Hamare raston par charon taraf petrol hi petrol bicha hua hai ... kaun, kab mauke ka fayda uthakar uspar jalti hui maachis uchaal de ... aur kis modh par hamari zindagi ka safar khatam ho jaye ... yeh hum bhi nahi jaante
Pran
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory