Aaj ke baad mein fruit nahin khaoonga ... sirf dry fruit khaoonga
Chup rehna har mulzim ka haq hai ... par chup rehna kisi bhi desh ki police ko achcha nahi lagta
Dhande aur career ke bare mein bhai, bhai se jal sakta hai
Khana khane ke liye pati ka nahi ... bhook lagne ka intezaar karna chahiye
Do harami ek jaisa kaise sooch lete hain?
Jab sher jungle mein shikaar karta hai ... toh pehle woh khud khata hai ... phir usse geedad aur giddh khate hai ... aur joh kuch bacha kucha hota hai usse zameen ke keede makaude khate hai ... aur meri nazar mein teri aukaat keede makaude ki bhi nahi hai
Agar tum logon ka pyar sacha hai toh woh zaroor madad karega ... woh joh soote huye parindon ko pedh se neeche nahi girne deta ... woh apne bandon ko besahara kaise chhodega
Sukh aur dukh wohi samajh sakta hai jispar beetti hai
Truth and justice needs no lobby, no politics
First impression izz last impression
Mere desh ke liye mera jazba, meri vardi mein nahi ... meri ragon mein daud raha hai
Duniya ka sabse aasan kaam hota hai kisi par ilzaam lagana ... aur sabse mushkil kaam sachai kuredna
Har ek aadmi ke saath kahi log hote hai phansi ke takhte par, koi akela nahi hota phansi ke takhte par ... uske saath us phande par dum todhta hai uski biwi ka suhaag ... uske bachon ka bhavishya ... uske ghar mein basne waali ek ek khushi ... uske aagan mein utarne waali ek ek kiran ... sabko ek saath phansi ho jaati hai
MLA janta ka pratineedhi hai, uske sukh dukh ka saathi ... lekin aapne toh un teeno aksharon ka matlab hi badal diya ... "M" for murder, "L" for loot, "A" for Atrocities ... yani atyachar
Bin byahi ladki ka dil toh hota hi hai aaine ki tarah hai ... joh bhi samne padh jaata hai, ussi ki parchai us mein dikhne lagti hai ... lekin shaadi ke baad woh parchai tasveer mein badal jaati hai ... pati ki tasveer
Jis tarah tumne doosron ka khoon bahaya hai ... waise hi ek din tumhare apno ka khoon bahega ... kyun ki woh saari goliyaan joh tumne doosron ke seeno par chalayi hai ... koi ek din tumhare apno ke seene par chalayega
Joh akela khelta hai, woh team ke khilaf khelta hai
Bacha apni maa ki maar khake bada hota hai ... lekin apni maa ko maarne waala bacha tabah hota hai
Janam din par khush rahogi ... toh saal bhar khush rahogi
Do premiyon ko milane ke liye hazaar jhoot bhi bolne pade ... toh bolna chahiye
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory