Joh khuda ke pyare hote hai ... woh waqt se pehle khuda ko pyare nahi hote
Dharmendra
Jurm aur dharam ka dhanda darr ke bal pe hi toh chalta hai
Gulshan Grover
Nahi ishq mein iska toh ranj hum mein, ke qarar-o-shakeb zara na raha ... gham-e-ishq toh apna rafeeq raha, koi aur bala se raha na raha ... na thi haal ki jab hum mein apni khabar, rahe dekhte auron ke aeb-o-hunar ... padi apni buraiyon pe joh nazar, toh nigaah mein koi bura na raha ... zafar aadmi usko na jaaniyega, ho woh kaisa hi saheb-e-fehmozaka ... jisse aaish mein yaadein khuda na rahi, jisse taish mein khauf-e-khuda na raha
Unknown
Upar waale ke karname bhi kamaal hai ... kabhi ek rasta bandh kare toh ek khol deve ... kabhi daboche toh kabhi chhod deve
Bhagwan ka ansh har insaan ke andar hota hai
Amitabh Bachchan
Tu ek aaisa shaitaan hai jisse upar waale ne galati se insaan ki shakal mein neeche bhej diya ho
Ajay Devgan
Gundon ka mazhab gundagardi hota hai
Kader Khan
G-B-M-L-R: Ganpati Bappa Morya Let's Rock!
Ritesh Deshmukh
Bhagwan kisi ko bada dil deta hai ... kabhi kisi ko bhagwan bada dimaag deta hai ... lekin apna dimaag lagakar apne dil se poocho ... ki bhagwan ne tumhe kya diya hai
Krishna Abhishek
Himmat-e-marda toh madad-e-khuda ... aur inko de mila, na kar juda
Johnny Walker
Maut aur zindagi ki lakeer toh pehda hote hi uparwaala likh deta hai
Ayub Khan
Karam karna manav ka dharam hai ... aur uska phal dena bhagwan ke haath mein hai
Dilip Kumar
Apne mann mein base hue purush ko nikalkar ... bhagya se paye hue pati ko devta maan lena nari hi kar sakti hai ... issi liye Bharat ki nari ko devi kaha jaata hai
Sulochana Latkar
Aatma aur parmatma, tapasya aur vardaan, dharm aur satya ke beech bahut kam antar hai ... phir bhi usse paar karne ka maarg bahut lamba hai
Achche kaam ko encourage karne ke liye uparwaala bhi incentive deta hai
Javed Sheikh
Yeh duniya bati hui hai dharam ke naam par, desh ke naam par, rang ke naam par, jaat ke naam par ... par yeh woh sarhaden hai jise insaan ne kheenchi hui hai ... lekin in sabse upar hai woh jise insaan ne nahi uparwaale ne banaya hai ... pyar
Abhay Deol
Mausam banata hai parmeshwar ... usse badalta hai Rajeshwar
Pet ki awaaz ke samne aatma aur parmatma dono ki awaaz gayab ho jaati hai
Nastik ko aastik banana uparwaale ka bayen haath ka khel hai
Prem Nath
Malik ne hamari mitti kuch special kisam ki banai hai ... ki jis saanche mein dalo wohi roop dharan kar leta hai ... agar tange mein behta do toh tangewaala ban jata hoon, agar hawaijahaz mein behta do toh pilot ban jata hoon ... masjid mein mulla, mandir mein pandit ... aur agar dil mein behta do toh dilwaala
Rajesh Khanna
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory