Naam hai ishq mera, husn ka deewana hoon ... kabhi bhanwara kabhi bulbul, kabhi parwana hoon ... mere hi dum se haseeno mein mohabbat jaagi ... naaz-o-andaz-o-adashokhi shararat jaagi ... jab haseen log mera naam liya karte hai ... dono haathon se jigar thaam liya karte hai ... phir bhi tanhai ka ehsaas liye phirta hoon ... ek dariya hoon magar pyaas liye phirta hoon
Maut aur zindagi ki lakeer toh pehda hote hi uparwaala likh deta hai
Main yoon hi bekhudi mein keh gaya hoon dilruba tumko ... khuda ka khauff na hota toh keh deta khuda tumko
Mana ki bandook aur talwar mein bahut dum hai ... lekin kalam aur kalam ki awaaz hazaron bandookon aur lakhon talwaron par bhari hai
Wafa ki aag hum zalim tere dil mein laga denge ... kasam teri kisi din ishq karna bhi sikha denge
Jung chahe farz ki ho ya dilon ki ... humein dono jeetna aata hai
Roop badal lene se badan ki boo nahi badalti
Hum ahl-e-ishq hai, teer aur talwar se nahi darte ... nazar bhar dekh lo zalim toh khud hi mar jaayein
Sab kuch khuda se maang liya tujhko maangkar ... uthte nahi hai haath mere is dua ke baad
Journalist mar sakta hai ... journalism nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory