Jis bete ke sar par apni maa ka aashirwad ho ... usse tum jaise shaitan toh kya bhagwan bhi nahi maar sakte
Rishi Kapoor
Malik ne hamari mitti kuch special kisam ki banai hai ... ki jis saanche mein dalo wohi roop dharan kar leta hai ... agar tange mein behta do toh tangewaala ban jata hoon, agar hawaijahaz mein behta do toh pilot ban jata hoon ... masjid mein mulla, mandir mein pandit ... aur agar dil mein behta do toh dilwaala
Rajesh Khanna
Raghukul reet sada chali aayi ... pran jaye par vachan na jayi
Sunil Dutt
Is waqt meri maa, mera dharam, mera bhagwan ... joh kuch hai paisa hai
Vinod Khanna
Joh doosro ki help karte hai ... bhagwan unki help karte hai
Unknown
Teri Ramayan ka Ravan hoon main
Arjun Kapoor
Jab poori duniya karvat le rahi thi toh hamaro sanatan Hindu dharam daud riha tha
Pankaj Tripathi
Tumhe pyar karenge, tumhari raksha karenge ... joh hummo bhagwan bhi hum dono ke beech mein aayo ... toh maa kasam, hum uski bhakti chhod denge
Jimmy Shergill
Main yoon hi bekhudi mein keh gaya hoon dilruba tumko ... khuda ka khauff na hota toh keh deta khuda tumko
Ayub Khan
Jab tu bahar se kisi daulat waale ka bangla dekhega na ... toh tujhe lagega ki bhagwan ne isse bahut kuch diya hai ... par jab andar jaake dekhega ... toh tujhe lagega bhagwan ne isse bahut kuch cheen bhi liya hai
Om Shivpuri
Jab sangeet aur sangeetkar ek ho jaye ... toh us samay bhagwan ke darshan hote hai
Meenakshi Sheshadri
Falsafi ko bahas ke andar khuda milta nahi ... dor ko suljha raha hoon aur sirah milta nahi
Rekha
Vaah re neeli chatri waale tu toh chatri kholke upar baith gaya ... aur lafde ka baarish mein main bheeg raha hai idhar
Javed Jaffrey
Jis manushya ka bank mein bahut rupaiya ho uske hridhay mein bhagwan hote hi nahi hai ... uske hridhay mein toh noton ki gaddiyan hoti hai jinse woh kabaddiyan khelta hai
Jagdeep
Vidhaata ki laathi beawaaz hoti hai
Aadmi jab sant banta hai toh jaat paat, oonch neech, Hindu Muslim, desh videsh, rang nasal ke tamaam bedh bhav bhool jaata hai
Raj Kapoor
Tareef us khuda ki jisne hum sabko banaya hai ... zara aapko yeda banaya, humko teda banaya hai
Johnny Lever
Mera dil us mandir ki tarah hai jis mein ek baar joh murti bitha di jaati hai ... zindagi bhar ussi ki pooja ki jaati hai
Kamal Hassan
Joh khuda ke pyare hote hai ... woh waqt se pehle khuda ko pyare nahi hote
Dharmendra
Arre kha le na yaar, kha le ... khali pet toh bhagwan ka naam bhi pet mein dard karta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory