Dil aur mandir ek jaise hote hai ... nah mandir se koi murat hatai ja sakti hai ... aur na hi dil mein basi hui surat bhulai ja sakti hai
Suman Ranganathan
Bade bade khatarnako ki nak kaat kar apne jeb mein rakh li hai
Mithun Chakraborty
Jab bhi mera khoon behta hai ... toh mujhe meri maa ke rone ki awaaz sunai deti hai ... aur joh maa ko rulata hai ... main usse nahi chhodta, chahe woh mard ho yah aurat
Glass mein sharab daalne waala bada nahi hota ... bada toh woh hota hai jiske glass mein sharab daali jaati hai
Maarkar lashein aaisi gandi jagah pehkoonga ... jahan janwar bhi marna pasand nahi karte
Jiska saara shehar dushman ho ... usse dosti karne ka hum mein koi interest nahi
Yeh khoobsurat rishteydari ke peeche ... makkari aur chaalbazi ke sivah kuch nahi hota
Teri maut bankar aaya hoon ... teri laash girakar jaoonga
Sar se pair tak toh hum khud hi bure hai ... hamare liye buri khabar kya ho sakti hai
Mukesh Rishi
Aaj main tujhe aaisa tamasha dikhaonga ... ki duniya ke saare villian zulm karna bhool jayenge
Maut ko aane ke liye patta nahi poochna parta
Tu toh us pagal kutte ki tarah bhaukne laga hai ... jisse pagal hone ke baad charon taraf se maut nazar aati hai
Jahan faulaad bhi kaam nahi aata, wahan kali kaam aati hai ... apne husn ki chamak se, dushman ko andha banati hai
Aaj ke baad aane waala har pal ... tum dono ke dil ki dhadkan par hathoda bankar barsega
Tu toh khoon is tarah karta hai jaise bachche khilona todh dete hai ... bus fark itna hai ki woh khilona todhne ke baad rote hai aur tu khoon karne ke baad hasta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory