Jab pita ke budhe haath kaapne lage ... toh jawaan bete ka farz hota hai ki woh aakar unke haath batayein
Amitabh Bachchan
Hamara father north Indian, hamara mother south Indian ... is liye hum complete Indian
Satish Kaushik
Tumhari maa toh kohd se mar gayi bete ... magar is Bharat maa ko kohd mat hone dena
Baap ka joota agar bachche ke paon mein aa jaye ... toh phir woh bachcha nahi reh jata
Main woh badnaseeb beta hoon ... ki jis dawa ko cho loonga, woh meri maa ke liye zehar ban jayegi
Bachon ka zindagi bhar apne maa baap par haq hota hai ... par maa baap ka bachon pe nahi hota hai ... yehi duniya ki reet hai
Unknown
Aap India se toh bahar aa gaye ... par Indian baap ka attitude aapse bahar nahi aaya
Maa bhi bhagwan ne duniya mein ek nirali hi cheez banayi hai ... janam dene se lekar bete ki aakhri saans tak, har gadhi yeh hi kehti hai ... "jug jug jiyo beta, jug jug jiyo"
Jeetendra
Meri maa ka ek ek aasoon teri chitta ka angaar banega ... aur teri sau sau cheekhen mere pita ki ek ek cheekh ka muhafaza degi
Mithun Chakraborty
Insaan apne maa baap ke naam se nahi ... apne ghuno se achcha ya bura samjha jaata hai
Dilip Kumar
Bhagwan ke prem aur vishvas ka ek hi saboot hai duniya mein ... joh maa ke dil mein mamta bankar palta rehta hai
Nutan Behl
Khili thi chaandni, charon taraf pani barasta tha ... main jab pehda hua, toh meri maa roti thi aur baap hasta tha
Khilono aur tohfo ki bachchon ko itni bhook nahi hoti jitni maa baap ke pyar ki
Sonu Walia
Agar maa ki mamta ho sakti hai ... toh kya baap ki bapta nahi ho sakti
Mood hai mera ... baap hoon tera!
Paresh Rawal
Main shaadi shuda hoon ... par kismat ki maari hoon ... magar apne baap ki janni nahi joh jhooth bolun ... main aaj bhi tumhari hoon
Richa Chadda
Next monsoon your bahbhi will mom soon
Woh bache jinke mummy pappa nahi hote na ... God ke sabse special bache hote hai
Kajol
Is duniya mein paisa nahi toh kuch nahi ... baap ki shafqat paisa, maa ki mamta paisa, aurat ka pyar paisa ... paisa, paisa, paisa
Dev Anand
Nau mahine pet mein rakhne se koi aurat maa nahi ban jaati ... kya tumne ek maa ki tarah kabhi isse apna doodh pilaya, kabhi apni baahon mein jhulaya, kabhi seene se lagakar pyar kiya ... nahi ... jab tumne maa ka kartavya nahi nibhaya toh tum mein maa kehlane ka koi adhikar nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory