Meri beti ki liye mujhe woh patti chahiye joh sympathy nahi ... mujhe sampatti lakar de
Mithun Chakraborty
Daulat gareebi ki taraf dosti ka haath toh bada sakti hai ... magar usse gale lagate hue hich-kichati hai
Rajendra Kumar
Pehle paisa insaan ke haath ki mail hua karta tha ... aur aaj insaan ke haath mail mein paisa dhoondte hai
Govinda
Lady agar pasand aa jaaye toh pehle chaati pe lagao, mann behlao ... jee bhar jaaye toh uske pairon mein ghunghroo bandvao aur paise kamao
Prakash Raj
Without cash tu kaise karega aaish?
Ajay Devgan
Sau wala kaam karega toh kaide mein rahega ... hazar wala kaam karega toh faide mein rahega
Unknown
Main khake tujhe thookta tu gutka ... sadak pe sekon jaise bhuta ... main kadak gulaabi note, tu hai chutta ... main jungle ka raja, tu Appu Raja butka
Sau lagao toh mamu aa jaate hai ... sau thamao toh chale jaate hai
Emraan Hashmi
Mere do hi rule hai ... rule no. 1, mera paisa kabhi khona nahi ... aur rule no. 2, rule no. 1 kabhi bhoolna nahi
Saif Ali Khan
Sirf paise ke liye jaan ka sauda toh chor, daku, smuggler aur badmash bhi karte hai ... lekin ek jhande ke liye jaan ka sauda sirf ek sipahi karta hai
Mukesh Khanna
Agar is samaaj aur society se paap aur gunaah ko hamesha ke liye khatam karna hai ... toh un shaitano ko khatam karna hoga joh chand sikkon ki khatir gareebon ki sharafat aur insaaniyat khareedkar unke dilon mein gunaah ka bheej bohte hai ... paap ke saaye mein unki parvarish karte hai ... logon ka khoon pilakar unhe badne par majboor karte hai
Rajesh Khanna
Har badi daulat ke peeche koi na koi jurm hota hai
Tara Sharma
Ameer se uski daulat aur gareeb se uski izzat cheen lo ... toh hamesha hamesha ke liye mar jayega
Kamal Kapoor
Daulat mein hi woh taqat hai joh har sapna, har umeed, har umang ko haqeeqat mein dhaal sake
Kiran Kumar
Paisa hi aapka dharm hai ... aur bazaar aapki morality
Amitabh Bachchan
Jiski laathi uski bhains ... nikaal cash
Paresh Rawal
Daulat se bistar khareeda jah sakta hai, neend nahi ... aurat khareedi jah sakti hai, pyar nahi ... jhoot kareeda jah sakta hai, sachchai nahi
Zero bhi bade kaam ki cheez hoti hai ... agar use karne waala uski value pakde ... sahi jagah par laga do, toh saale ko jitni baar lagaoge ... utna hi fayda hoga
Manish Chaudhary
Itne paise tum kahan se laiye?
Aadmi karz lauta sakta hai ... ehsaan nahi
Akshay Anand
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory