Jahan paisa roti ki hadh se badh gaya ... wahin insaan baimaani ke daldal mein gadh gaya
Kader Khan
Main toh aaj tak samajhta tha ki daulat insaan ko sirf pagal banati hai ... par main dekh raha hoon ... daulat insaan ko soovar bhi bana deti hai
Raghuvaran
Sirf daulat kamane se kuch nahi hota hai ... aadmi kamana bhi zaroori hota hai
Paison ke mamle mein main pehdaishi kamina hoon ... dosti aur dushmani ka kya, apno ka khoon bhi pani ki tarah baha deta hoon
Amrish Puri
Saala phateli chaddi pehenne waala meri gaddhi par behetkar noton ki gaddi ginne laga
Deepak Shirke
Mere paas apne baap dada ki daulat ki nahi ek pai hai, aur nahi mujhe chahiye ... mere paas agar kuch hai toh apni maa ka diya hua aashirwaad
Amitabh Bachchan
Paanch dus pandrah crore paise ki koi fikar nahi hai ... image ... image ka falooda kar diya, vaat lagayi tune
Nana Patekar
Garmi chahe mausam ki ho ya daulat ki ... sirf gadhe hi magan rehte hai us mein
Guru Dutt
Duniya mein zubaane toh bahut hai ... magar aaj kal har zubaan mein sirf paisa bolta hai
Unknown
Khel khatam, paisa hazam ... sudar gaya khasam, khake kasam
Salman Khan
Hamare business ka ek ussool hai ... ke rupiya do toh ginn ke do, rupiya lo toh ginn ke lo
Pran
Aapki har baat paison se shuru hoti hai ... aur paison par khatam hoti hai
Saif Ali Khan
Jab paise ki baat aati hai ... toh sabka dharm ek hi hota hai
Neil Nitin Mukesh
Hamari tarakki ke raaste mein joh bhi aayega uski zubaan band karni hogi ... rupaiyon se nahin toh goli se
Naseeruddin Shah
Maine aasoon bechkar daulat nahi kamai ... joh aasoon dekhkar daulat luta doon
Subbiraj
Duniya yeh gol hai, andhar se hole hai, rupaiya ka mol hai, baki sab jhol hai ... income ho unda toh patni maare danda ... jeevan ki gaadi bhanvar mein hai, bada problem hai bhaiya ... kyun ki aamdani atthani, kharcha rupaiya
Johnny Lever
Paise mein badi taqat hoti hai ... jinke paas paisa nahi hai na, unse toh unke apne bhi nazar pher lete hai ... aur jinke paas paisa hai, unke gair tak apne ho jaate hai
Shreeram Lagoo
Yeh world hai na world, is mein do tarah ke log hote hai ... pehle jinke paise ekhatte ho jaate hai ... aur doosre jinke paise kabhi ekhatte nahi hote
Abhishek Bachchan
Paisa nahi toh kuch aur sahi ... har insaan ki koi na koi kamzori zaroor hoti hai
Sapru
Supari ka sauda noton se nahin ... laashon se hoga
Ishrat Ali
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory