Makkai ki roti sambhar se khayenge ... Dharmendra Hema ke mafit hum bhi shaadi banayenge
Johnny Lever
Ek laawaris ko roti ki bheek di jaati hai pyar ki nahi ... usse zillat milti hai lekin apni sachai ko badalne ka mauka nahi milta
Akshaye Khanna
Na sode ke saath, na pani ke saath ... main toh peeyunga apni rani ke saath
Dharmendra
Bas paisa apna jaani ... baki sab cheeni kam pani
Sara Loren
Aage hai zamana par bhook peeche peeche ... sari duniya ki baatein do roti ke neeche ... arre chamde ki jhopadiya mein aag lagi hai bhaiya ... barkha na bhujaye, bas bhujaye rupaiya ... aur phir bhi bhare na pet ... toh yaad aati hai yaaron Pari rice plate
Amrish Puri
Ladki hai ya naram naram double roti ... isko dekhte hi mohabbat ke pet mein bhook lag jaati hai
Asrani
Aaj raviwar hai is liye tum log bach gaye ho ... lekin yeh na samjho ki roz Sunday hai ... aaj Ghasitaram ke pedhe khalo ... kal se toh khane Lakhwinder ke dande hai
Sanjay Dutt
Aurat aur sharaab dono mein koi farak nahi ... dono ka kaam hai aag lagana
Jab zindagi ka hi nasha zyada hota hai ... toh sober hone ke liye aur daaru peena padta hai
Tiku Talsania
Kyun be sukhe hue chuare ... baasi udad ke papad!
Govinda
Arre ubalte hue chawal ke thande jhaag waale paani ... budhape mein uddiyan maarre kya?
Raveena Tandon
Mirchi mooh na lage toh bhali ... jitna kaatenge utna si-si karenge ... mirchi uff nahi karegi
Unknown
Sharaab peena bahut zaroori hai ... varna zindagi adhoori hai
Bharat Kapoor
Zindagi mein sirf do hi cheezein hai ... ek khana aur doosra gaana
Sanjay Suri
Arre kha le na yaar, kha le ... khali pet toh bhagwan ka naam bhi pet mein dard karta hai
Nagin ka nasha sharaab aur aurat ke nashe se zyada hota hai
Reena Roy
Ladies ko sharaab offer karne ka tarika yeh hai ... ki hurricane aaye, toofan aaye, bhuchal aaye lekin glass se ek boond sharaab bhi na chalke ... aur chalke toh kaide se chalke
Amitabh Bachchan
Tu sharaab ki botal hai ... tujhe peekar log apne aap aur apne khandan ko gaaliyan dete hai
Nutan Behl
Jab tak ki ghar ki murgi ko koi bahar waala murgi na bole ... tab tak murgi daal hi lagti hai
Pedh ke phal wohi khaata hai ... joh pedh ki daali par baitha hota hai
Gulshan Grover
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory