Filmy Quotes

Drama
Drama

(Page 69 of 177)
# 1361

Rishtey sirf jismon ke hote hai ... baaki toh sab khayal hai


Relationships are only physical ... everything else is imagination

# 1362

Kabhi kabhi haar aur jeet mein farak karna mushkil ho jaata hai


Sometimes it becomes difficult to differentiate between winning and losing

# 1363

Taqat ki asli power ... usko chupake rakhne mein hai


The real power of strength ... is in hiding it

# 1364

Taqdeerein badalne ke liye ... ek lamha bhi kaafi hota hai


To change destinies ... even a single moment is enough

# 1365

Dua karta hoon dost ... ke tujhe is gusse ka saamna nahi karna padhe


My friend I'll pray ... that you should never have to confront with my anger

# 1366

Ek police waale ka dimaag bhaagte bhaagte thakar jab behat jaata hai ... ek shatir chor ka dimaag wahan se daudna shuru karta hai


When the mind of a cop relaxes after getting tired from running around ... from there the mind of a smart thief starts running

# 1367

Koi bhi faisla chunaav se hona chahiye ... dabaav se nahi


Any decision should be made with choice ... not with pressure

# 1368

Dosti ki tarah dushmani bhi ek tarfa nahi hoti ... dono taraf se hoti hai


Just like friendship, enmity also cannot be one sided ... it is from both sides

# 1369

Gham aur thakaan ka mel ... jaanlewa hota hai


The combination of sadness and tiredness ... is life threatening

# 1370

Jahan paisa roti ki hadh se badh gaya ... wahin insaan baimaani ke daldal mein gadh gaya


Where money goes beyond the limits of food ... over there a man gets stuck in the bog of dishonesty

# 1371

Majboori mein daya ki bheekh maangi jaati hai ... koi shart nahi rakhi jaati


When compelled you can beg for mercy ... but you can't place a condition

# 1372

Badhon se baat badhe hi kiya karte hai


Only elders talk to the elders

# 1373

Sansar ne aurat ko maa ke roop mein dekha hai, bahen ke roop mein dekha hai, beti ke roop mein dekha hai ... magar chandi ke roop mein nahi dekha


The universe has seen a woman in the form of a mother, in the form of a sister, in the form of a daughter ... but has never seen in the form of a fierce Goddess

# 1374

Haq usko hota hai jiska kabza hota hai


The right belongs to the person who has the possession

# 1375

Main toh aaj tak samajhta tha ki daulat insaan ko sirf pagal banati hai ... par main dekh raha hoon ... daulat insaan ko soovar bhi bana deti hai


I use to think that money only made a human go mad ... but I am seeing that ... money also turns a human into a pig

# 1376

Aapke ek shaunk ki keemat ... hamari kahi chhaton ki keemat hai


The price of your one hobby ... is the price for many of our roofs

# 1377

Hamara itihaas hai aur hum kal bhi itihaas banayenge


Our history is there and tomorrow also we will create history

# 1378

Mohabbat aisa cancer hai joh ... achche khase aadmi ko tadpa tadpa kar maar dalta hai


Love is such a cancer which ... kills a perfect person with torture

# 1379

Jab bhi hum koi khel khelte hai ... toh saare mohron ko apni ungliyon par nachate hai


Whenver I play any game ... I make all the pawns dance on my fingers

# 1380

Log toh budhe hokar naukri se retire hote hain ... lekin aap toh mujhe rishtey se retire kar rahen hain


People retire from a job once they get old ... but you are retiring me from relationships

Recently Added

Box Office Winners


Movies Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ#

Stars Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ

Copyright © FilmyQuotes.com