Jis baap ki char jawan betiyan bin biyahi ghar mein baithi rahe ... us baap ki misaal us laash ki tarah hoti hai ... jisko na jalaya ja sakta hai, na dafnaya ja sakta hai
Kader Khan
Aurat ko hathyar banakar jung ladne waala mard ... mard nahi hota
Aruna Irani
Kuch faisle bina sooche liye jaate hai ... aur woh faisle dil se hote hai
Unknown
Hum mein lagi hai joh thokar, tu muskurata hai ... yeh waqt woh hai, ki dushman bhi raham khata hai
Jab aulad ki zindagi ka sawaal ho ... toh maa din aur raat nahi dekhti
Shabana Azmi
Jab tak kamyabi ki khushi baantne waala koi apna na ho ... toh us kamyabi ki khushi ka maqsad hi kya hai
Shakti Kapoor
Waqt ka problem yahi hai ki woh har waqt badalta rehta hai
Kabhi na kabhi, kisi na kisi ko toh ... fayde aur nuksaan ke aage soocha padega
Shahid Kapoor
Aaj gareeb bhi gareeb ko nahi pehchanta
Raj Kapoor
Pyar bheek se nahi milta
Shahrukh Khan
Is ghar ke insaanon ko har saans ke baad doosre saans ke liye bhi ... aapse izaazat leni padti hai
Raaj Kumar
Hamara yeh bazaar ek kabristan hai ... aaisi auraton ka jinki roohen marr jaati hai ... aur jism zinda rehte hai
Meena Kumari
Sab kuch nijhi hai ... sab kuch
Abhishek Bachchan
Pyar mein jeet ussi ki hoti hai ... joh raaste mein aane waali har deewar ko gira de
Alok Nath
Jab koi marta hai ... toh akela nahi marta
Tanvi Azmi
Koi janam insaan ka janam nahi paoge tum ... shraap deti hoon tumhe!
Sonali Bendre
Agar prem ka anth hinsa karti hai ... toh hinsa ka vinash bhi sirf prem hi kar sakta hai
Ek aurat apne seene mein agar daya aur mamta ka sagar rakhti hai ... toh nafrat ki aaisi aag bhi rakhti hai ... jiski choti si chingaari kisiko bhi jalakar rakh kar sakti hai
Madhuri Dixit
Kanoon kamzor nahi hai ... kamzor hai hum
Ajay Devgan
Jis raaste par main chal raha hoon uska anjaam shayad bura bhi ho sakta hai ... lekin jis raaste pe tum chal rahe ho uska anjaam sirf bura hi hota hai bhai
Shashi Kapoor
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory