Dame ki bimari kuch aaisi hai jaise ghar aaya hua mehmaan ... aaj hai, kal nahi
Saif Ali Khan
Jinke saath main yeh sab karta tha na woh sab party pack the ... yeh family pack hai
Gulshan Devaiah
Honi ko kaun taal sakta hai ... joh hona hai wohi hoga ... bachche ke diaper jitne bhi badalo ... geela toh woh karega bichauna
Sanjay Dutt
Jaise kamino ki pechaan jail mein piste hue chakki ko hoti hai ... vaise apne jijo ki pehchaan Lakhwinder Singh Lakha urf Lucky ko hoti hai
Tum itna ooncha kyun bolti ho ... kauve khaye the kya bachpan mein?
Unknown
Coffee bhi baimaan cheez hai ... woh dekhti hai usse peene waala kaun hai ... us hisaab se banti hai
Aftab Shivdasani
Tum jaise log na shaadi se pehle maine pyar kiya ... aur shaadi ki baat aayi toh yeh maine kya kiya
Raima Sen
Isko daru na mile toh hangover ho jaata hai
Ranveer Singh
Main iski daulat nikalna chahta hoon ... noton ki deewar banana chahta hoon ... us mein noton ki chhat, noton ki farsh, noton ke furniture, noton ka choola, noton ke bartan ... note pakayenge, note khayenge aur phir us mein hum note ki tarah chipak jayenge
Kader Khan
Saanp ka kaata kam se kam mar toh jaata hai ... lekin aurat ka sataya na mar sakta hai, na jee sakta hai
Shreeram Lagoo
Kab tak bolo chupi rahogi oh meri Asha ... maine padh li aaj tumhare naino ki basha
Kishore Kumar
Jab samne waala garam hota hai na ... toh khud ko naram rehne ka
Paresh Rawal
Pet ki awaaz ke samne aatma aur parmatma dono ki awaaz gayab ho jaati hai
Johnny Walker
Keeda makoda ... bin tel ka pakoda!
Satish Shah
Hindustan mein jab tak aapki jeb mein paisa hai ... log poochte hai kaisa hai?
Razak Khan
Joh kholna hai khol dena ... dil mat kholna
Rajeev Khandelwal
Che mahine ke baad sab biwiyan bhoot ban jaati hai
Zakir Hussain
Kalyug mein chamatkar ko hi namaskar kiya jaata hai
Amitabh Bachchan
Yeh pyar naam ka virus hota hi bada gadbad hai
Manish Chaudhary
Kisi fan se latkakar tumhe aaisa ghumaonga ... ki bhool jaoge ki insaan ho ya latoo
Himesh Reshammiya
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory