Bhagwan jiske chehre pe aankhen nahi deta ... uske dil mein aankhen de deta hai
Main chota aadmi hoon ... mere pair zameen pe hai, mera sar mere kandhon par hai ... aur mere dimaag ke andhar meri aukaat tolne ka tarazu laga hua hai
Joh imaandaron se gaddari karega ... woh gaddaron se imaandari karega
Dushmani toh aag ki tarah hoti hai ... jis mein jalne waala toh jalta hi hai ... magar jalane waale ko bhi shanti nahi milti hai
Zindagi mein kabhi izzat mat khona
Sarr par croreron ke heere rakhne se ... aadmi akalmand nahi ho jaata
Ladki ki khoobsurati shareer ko dhakne mein hai ... shareer ki numaish karne mein nahi hai
Tere farz ne hum mein hazaar janam ke liye tera karzdaar bana diya
Neta jab tak giraftar nahi hota usse naam nahi milta ... logon ki humdardiyan nahi milti
Joh hamari baat nahi maanta ... main usse singh maarke Singapore bana deta hoon
Main aate ki roti khata hoon ... aur tum gobar ki roti khate ho
Jinke khoon mein wafaadari hoti hai ... woh gaddari ke bare mein sooch bhi nahi sakte
Mujh jaise vakil se kabhi mat lena panga ... varna kapde pehne rahoge aur duniya samjhegi nanga
Kabhi veerane the, abhi gul-o-gulzaar nazar aate hai ... badle badle dar-o-deewar nazar aate hai
Daulat se tu mahal khareed sakta hai, gaadiyan khareed sakta hai, chaaplusi karne waale dost khareed sakta hai ... magar gaaliyon mein duayen dene waala yeh baap nahi khareed sakta
Fudak fudak tu chaal chale, naam tera hirni komal ... thumak thumak koole thumke, hum dekh rahe aankhen mal-mal ... daant tere bhutte dane, dil ched rahe hai naina chanchal ... yeh roop tera bhari bharkam, ham pyar kare ki lade dangal
Pyar ke mamle mein aur khane ke mamle mein ... doosre ki marzi mein apni marzi ki taang nahi adana chahiye
Is duniya mein bahut sari khushkismat jawaniyan aaisi hai jinke saron par baap ke daulat ki chhat hai ... joh apne pair pe nahi baap ke pair pe chalti hai ... aur baap ki jeb ko apna dil banake duniya mein jeeti hai
Insaan aur insaaniyat ka toh main paidahishi dushman hoon ... mera bas chale toh main insaaniyat ka khoon aaise nichhod loon ... jaise log kisi phal mein se uska ras nichhod lete hai
Aaj kanoon ki chhat tumhare sar pe hai is liye tum apni zehareeli zubaan ki dank se hum mein dass rahe ho ... lekin beta jis din yeh chhat gir jayegi aur pata chalega ki yeh sirf tumhari chaal thi ... us din tumhari zubaan ko hum alakh se ukhadkar gandi naali mein phek denge
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory