Kafan mein jeb nahi hoti, kabar mein safe nahi hoti aur maut ke farishtey rishwat nahi lete
Nana Patekar
Zindagi ka har pal aakhri samajhkar jeena chahiye ... tab zindagi ka asli maza aata hai
Aaj kal ke rishtey is ice cube ki tarah hai ... paani mein gire aur apna wajood kho behte
Bade khudgarz hote hai hum ... jisse pasand karte hai uski buraiyan bhool jaate hai ... jisse nafrat karte hai uski achaiyan bhool jaate hai
Sarphire hi itihaas likhte hai ... samajhdar usse padhte hai
Bheek mein mila pyar dard zyada deta hai ... khushi kam
Mahie Gill
Shareer ki seemayein hoti hai, beemaar hota hai, thak jaata hai, bhook lagti hai, sota hai ... janam leta hai, kuch pal yahan guzarta hai ... mar jaata hai ... chahat ka in cheezon se koi rishta nahi, koi sambandh nahi ... chahat ki na umar hoti hai, na maut ... passion is immortal
Corporate companies ka toh bas ek hi aim hai ... nichhod dalo sabko ... pachees saal ki umar se khoon choosna shuru karti hai yeh companies ... bas market aur target ... shubah utho toh market, sone jaao toh target ... screen taakte taakte umar guzar rahi hai ... zindagi ke khoobsurat lamhe guzre jaa rahe hai ... na koi rishta, na koi apna ... dost hai toh bas tension
Nobody is virgin in this world ... yahan tak ki kudrat bhi virgin nahi hai ... updar baadal ek doosre se chhedkhani karte hai ... neeche hum bheeg jaate hai ... kehte hai baarish ho gayi
Hamare beete huye kal ka koi shareer nahi hota ... lekin uski maujoodgi ka ehsaas hamare aaj ko jinjhoor deta hai
Darr ko apna bana lo ... dost ban jaata hai
Raah kaunsi jaaun main ... chaurahe pe lut'ta cheer ... pyaade se pitt gaya wazir, pyaade se pitt gaya wazir ... chalo aakhri chaal ke chaal koi bichaun main ... sapna janama aur mar gaya ... basant ritu main baagh jadh gaya ... do din mile udhaar mein ... ghaate ke vyapar mein ... chaurahe pe lut'ta cheer ... pyaade se pitt gaya wazir
Phool kabhi bhawron se, kinare kabhi leharon se, aur patte kabhi hawa ko dawat nahi dete ... unka toh choli daaman ka saath rehta hai
Hamare bhoot ka koi bhavishya nahi hota ... lekin woh bhoot hamare vartamaan mein zinda rehta hai
Zindagi barsaat ki sadak ki tarah hoti hai ... kabhi phislan, kabhi thokar
Kisi ka dost, kisi ka raazdaar, kisi ka humdard ... duniya mein har koi kisi na kisi ka kuch hota hi hai
Jab kisi ko jaan'na hai, kisi ki chahat ko pechaan'na hai ... zaroori hai ki pehle khud ko pehchaano ... varna chalte raho zindagi bhar rail ki patri ki tarah ... milne ki koi gunjaish hi nahi
Shaq kabhi marta nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory