Pyar dimaag se nahi, dil se kiya jaata hai
Sanjay Kapoor
Pyar toh zindagi hai, ek ehsaas hai ... jis mann ko chu jaata hai us mann mein bas jaata hai ... hamesha ke liye, zindagi bhar ke liye
Anil Kapoor
Mohabbat janwar ko bhi insaan bana deti hai ... lekin kuch insaan aaise hote hai jinhe mohabbat bhi insaan nahi bana sakti ... woh zindagi bhar janwar bankar reh jaate hai
Unknown
Nafrat ki is duniya mein mohabbat shayad sabse bada jurm hai
Sunil Shetty
Baarish ki woh boodein achanak aisi lagne lagi ... jaise aasmaan se pani nahi, aag barasne lagi ho
Mallika Sherawat
Dil apni aakhri dhadkan tak kya kar behte ... koi keh sakta hai bhala?
Pyar ki dhadak beti ne suni thi ... pyar ki tadap baap jhelega
Ahan Shetty
Insaan bhi ajeeb hote hai ... baat kehni kisi se hai magar kehte kisi aur se hai ... aur sabse zyada joh baat kehne mein sharmaate ya katrate hai ... woh hai pyar ki baat, mohabbat ki baat
Hoga, na jaane kaisa hoga ... kahin na kahin, koi na koi, uparwaale ne meri kismat mein bhi likha hoga
Aishwarya Rai
Kahan hai woh ladki jiske daaman mein mooh chupakar insaan sari duniya ko bhool sake ... kahan hai woh ladki jise dekhkar mann bol uthe, is paar yeh madhu hai, tum ho, us paar na jaane kya hoga ... kahan hai woh ladki jise dekhte hi yeh mehsoos ho, ki jise main janam janam se dhoond raha hoon woh yahi hai ... kahan hai woh ladki jiske baare mein Tagore ne kaha tha, teri neeli aankhen ek gehri jheel ki tarah hai, jee chahta hai main un mein doob doob jaon ... kahan hai woh ladki joh mere saath sagar ki machalti lehron mein kood padegi, kahan hai woh ladki joh mere saath jayegi
Shammi Kapoor
Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai ... hai chandni ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai ... yeh chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara aanchal ... hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki khushboo ... yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne chupke se kuch kaha hai ... yeh soochta hoon main kabse gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi ho, kahin nahi ho ... magar yeh dil hai ki keh raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho
Amitabh Bachchan
Hawaon mein ab toh kiss karta hoon ... har taraf tujhko miss karta hoon
Tusshar Kapoor
Har koi yahi toh chahta hai meri tarah ... ki uski zindagi mein koi ek aaisa aaye joh ussi ke liye soche, ussi ke sapne dekhe, ussi ke liye jeeye aur dua kare
Govinda
Mohabbat ussi ka naam hai joh insaan ko qurbaaniya sikhati hai
Kishore Kumar
Ladka ladki bhaagkar gale milte hai, toh milne de ... slow motion hone de, sunset hone de, gaane bajhte hai toh bajhne de ... main toh kehta hoon ki dono puppy lete hai toh lene de
Yeh love bhi kya cheez hai ... ek doosre se ek shabd bhi na kehna aur tab bhi ek doosre ke itne kareeb hona ... us khamoshi ka kuch aur hi mazaa hai
Zarina Wahab
Yakeen nahi aata toh poocho in barfilay pahadon se, in nadi ki leharon se, in baharon se ... hum dono ke dilon ki awaaz ek hai, joh saath saath milkar in vaadiyon mein goonj uthegi
Rajesh Khanna
Us chandani raat mein tum chand se bhi haseen lag rahi thi
Arjun Rampal
Is duniya ke safar mein doston ke saath saath ... ek humsafar ki bhi zaroorat hoti hai
Sameera Reddy
Pyar bahut mushkil se milta hai, aur agar mil jaye ... toh usse aasani se jaane nahi dena chahiye
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory