Dil ke mamle mein hamesha dil ki sunni chahiye
Dharmendra
Agar prem ka anth hinsa karti hai ... toh hinsa ka vinash bhi sirf prem hi kar sakta hai
Unknown
Mohabbat mein hum jeeye hai jeeyenge ... woh honge koi aur marr jaane waale
Fardeen Khan
Pyar apni jagah hai, daulat apni jagah hai ... zindagi ke liye dono zaroori hai
Prem Chopra
Pyar ki ek apni hi kundli hoti hai
Abhishek Bachchan
Agar tu dil todh bhi degi mera, toh har toota tukda tere liye dhadkega ... mera yeh ishq sirf chingaari nahi, aag bankar bhadkega
Harshvardhan Rane
Tera pyar, pyar nahi teri zid hai ... jisse tu paar kar raha hai woh har hadh ki hadh hai ... mere dil mein tere liye mohabbat nahi, sirf nafrat hai ... tujhe tabaah joh kar degi woh is deewani ki deewaniyat hai
Sonam Bajwa
It takes courage to love someone who doesn't love you
Gauhar Khan
Pyar toh na bikne ki cheez hai, na khareedne ki cheez hai ... pyar toh sirf karne ki cheez hai
Rajesh Khanna
Jab hum chale toh saaya bhi apna na saath de ... jab tum chalo zameen chale, aasmaan chale ... jab hum ruke toh saath ruke shaam-e-bekasi ... jab tum ruko bahaar ruke, chandni ruke
Guru Dutt
Love at first sight thoda faltu type concept hi lagta hai ... but tumse ho sakta hai
Kartik Aaryan
Jitna tum karti ho mujhse pyar ... us mein 10% aur jodh lo yaar
Ajay Devgan
Maine zindagi mein prem ka karobar bahut dino tak kiya hai ... lekin prem sirf ek baar
Vyjayanthimala
Main jaanta tha tumhari aankhon mein mera intezar hai, tumhare dil mein mera pyar hai ... magar yeh zalim zamana hum dono ke beech deewar hai
Sunny Deol
Main seedhe sadhe dhang se kehta hoon apni baat ... ek ghar basana chahta hoon main tumhare saath ... kya dogi mere haathon mein bolo tum apna haath
Abhay Deol
Ab toh ghabra ke yeh kehte hai ki mar jayenge ... marke bhi chain na paya toh kidhar jayenge ... hum nahi woh joh karen unka daava tujhse ... balki poochega khuda bhi toh mukhar jayenge
Ek chota sa zakhm bahut gehra daag ban sakta hai ... aur ek choti si mulaqat jeevan bhar ka saath ban sakti hai
Agar tum destiny ko maanti ho toh yeh ittefaq ho nahi sakta ... aur agar yeh ittefaq hai toh main yeh chahunga ke aaisa khubsoorat ittefaq mere saath roz ho
Shahid Kapoor
Jinhe ulfat ki khushiyan mil sake woh shaunk se lele ... hum mein chhodo hum toh apni kismat aazma behte
Anupam Kher
Mohabbat janwar ko bhi insaan bana deti hai ... lekin kuch insaan aaise hote hai jinhe mohabbat bhi insaan nahi bana sakti ... woh zindagi bhar janwar bankar reh jaate hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory