Hindustan se gaddari karne waalon ka raasta ... seedhe kabristan jaata hai
Arbaaz Khan
Yeh hamara mulk hai ... aur hum iske jism par loot ke zakhm nahin dekh sakte
Hrithik Roshan
Yeh mulk toh meri maa hai ... aur Mumbai shehar meri mashooka
Rishi Kapoor
Is vardi ka rang khaki kis liye hai pata hai? ... kyun ki yeh rang us mitti ka bhi hai jis mein har policewaala milne ke liye bhi aur milaane ke liye bhi tayar hai
Jackie Shroff
Woh kehte hai mera desh uska nahi, phir kyun mere ghar woh rehti hai ... woh kehte hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisi woh lagti hai
Shahrukh Khan
Chalis saal pehle ek aur aadmi tha joh kanoon ke khilaaf tha ... aaj hum uss aadmi ko Bapu kehte hai
Abhishek Bachchan
Joh desh ke liye ladte hai ... unki maut ka countdown unki pehli saans ke saath shuru ho jaata hai
Jimmy Shergill
Dushman ka border ho ya dee hui zubaan ... Hindustani sipahi peeche nahi hatta
Mithun Chakraborty
Mil jaate hai kuch officers hum mein todhe pagal, todhe adhiyal ... jinke dimaag mein sirf desh aur desh bhakti ghumti rehti hai ... yeh desh ke liye marna nahi chahte, balki jeena chahte hai ... taki aakhri saans tak desh ki rakhsha kar sake
Danny Denzongpa
Apne hi desh mein mehmaan bankar koi khush kaise ho sakta hai
Unknown
Main mere desh ke liye jaan de sakta hoon ... aur pyar ke liye jaan le sakta hoon
Salman Khan
Mujhe hamesha lagta tha ki duniya mein do tarah ke insaan hote hain ... ek joh chupchap maut ka daman thaam lete hain ... aur doosre joh rote chilaate maut ki taraf badhte hain ... aur phir main teesre kisam ke insaanon se mila
Yeh joh vote hai na yeh kagaz ka tukda nahi hai ... ki dabbe mein daala aur chal diye ... yeh vote tumhare parivar, tumhare desh, uski unnati ki parchi hai ... yeh toh do dhaari talwar hai joh dono taraf se kaatti hai ... theek jagah pade toh desh khushal aur galat jagah pade toh desh ka satyanash
Rajesh Khanna
Bechkar imaan kamai daulat toh insaan kya ... namak khaya jis watan ka, ussi ka na hua toh Musalman kya
Gulshan Grover
Is chot ko apne dil aur dimaag par kayam rakhna ... kal yahi aasoon kranti ka sailaab bankar is mulk ki sari gandagi ko baha le jayenge
Sunny Deol
They asked us this question on a Friday, repeated it on Tuesday ... I'm just replying on Wednesday
Naseeruddin Shah
Main tiranga lehrakar aaunga ... nahin toh us mein lipatke aaunga ... lekin aaunga zaroor
Sidharth Malhotra
Aksar log mujhse poochte hai ki mera surname kya hai, jaati kya hai, dharam kya hai ... aur main unse muskurake kehta hoon ... ki is desh ke naam pe mere bauji ne mera naam Bharat rakha ... ab itne badhe naam ke aage jaati, dharam, surname lagake na toh apna aur na hi is desh ka maan kam kar sakta hoon
Mulk ke samne mujhe apna aap nazar nahi aata ... main hi toh mulk hoon, Hindustan hoon
Alia Bhatt
Aap logon ko bas peeth par vaar karna aata hai ... par hum Hindustaniyon ne kabhi peeth dikhana seekha hi nahi hai
Aishwarya Rai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory