Insaan ko zindagi mein sab kuch mil toh nahi jaata ... tamannayein toh bahut hoti hai lekin sabhi poori nahi hoti ... fark sirf itna hai ki kuch log aansoon bahakar jeete hai aur kuch log apne dil ka dard chupakar jeete hai
Mithun Chakraborty
Dushman ko bhi jail ki zindagi mile na kabhi ... ja tujhe zindagi mubarak, hum bhi niklenge kabhi na kabhi
Unknown
Zindagi achche burre tajurbon ka silsila hai ... burre ko toh bhool jaana chahiye aur achche ko seene se lagake rakhna chahiye
Achala Sachdev
Jab zindagi aapke samne saare darwaze bandh kar deti hai na ... tab sharafat aur gundagiri mein zyada kuch farak nahi reh jaata
Akshaye Khanna
Koi bhi hunar, koi bhi kala, koi bhi sammaan joh paise mein tabdeel na ho na ... uske peeche zindagi zayaa karna bilkul bekaar hai
Rajeev Verma
Insaan ki zindagi ka sirf ek hi maqsad reh gaya hai ... daulat, daulat aur daulat
Prem Chopra
Is desh ke gaddaron ko anjaam tak pahunchana ... yahi meri zindagi ka maqsad hai
Nana Patekar
Aurat woh khushboo hai joh aadmi ki zindagi ko mehka deti hai
Tiku Talsania
Kahi baar hamare ussool zindagi se bade ho jaate hai
Amitabh Bachchan
Meri zindagi toh zameen ki hi thi ... par main aasmano mein udh rahi thi
Priyanka Chopra
Saali zindagi hai hi fifty fifty ... kisi ki kaali zindagi mein umeed ki safedi ... toh kisi ki safed zindagi mein samjaute ka kaala daag
Veena Malik
Joh log sachchai ki tarafdari ki kasam khate hain ... zindagi unke bade kathin imtihaan leti hai
Dilip Kumar
Hamare dhande mein zubaan ki keemat jaan se bhi zyada hoti hai
Zindagi mein khoob galatiyan karni chahiye aur unki saza bhi paani chahiye ... magar apni, kisi aur ki nahi ... jab tak galatiyan nahi karoge toh apni kahani kaise likhoge
Tumhari jaisi ladki ke saath koi do teen din nahi bita sakta ... poori zindagi bita sakta hai
Kunal Khemu
Tum mere jeevan mein us rog ki tarah ho ... jis mein aadmi ghulta rehta hai, tadapta rehta hai ... na jee sakta hai, na mar sakta hai
Sanjeev Kumar
Ek baar marna hamesha aasaan hota hai ... lekin woh kambakht cheez jisse zindagi kehte hai ... uske liye kadam kadam pe marna padta hai
Feroz Khan
Tumhara saath chahiye zindagi bhar ke liye ... taki main tumhe itna pyar de sakon ... jitna is duniya mein hai hi nahi
Sanjay Suri
Chakravyuh mein ghusne se pehle kaun tha main aur kaisa tha, yeh mujhe yaad hi na rahega ... chakravyuh mein ghusne ke baad mere aur chakravyuh ke beech sirf jaanleva nikatta thi, iska mujhe pata hi na chalega ... chakravyuh se bahar nikalne par main mukt ho jaon bhale hi, phir bhi chakravyuh ki rachna mein fark hi na padega ... maron ya maaron, maara jaon ya jaan se maardon, iska faisla kabhi na ho payega ... soya hua aadmi jab neend mein se uthkar chalna shuru karta hai, tab sapnon ka sansar usse dobara dikh hi na payega ... us roshni mein joh nirnay ki roshni hai, sab kuch samaan hoga kya ... ek palhade mein napunsakta, doosre palhade mein parush aur theek tarazu ke kaante par ardh satya
Om Puri
Yeh udi udi si rangat, yeh luti luti si zulfen ... teri halat bata rahi hai teri zindagi ka fasana
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory