Agar duniya mein maut se badi sachai koi nahi ... toh sach maniye aapko dhoka dekar meri zindagi bhi maut se kam nahi
Asha Parekh
Jin rahon mein tum mere saath nahi chalogi ... vishvas karo un rahon mein bhatak-bhatakar main apni jaan de doonga
Sanjeev Kumar
Is vardi ki shaan pe jaan dena seekho ... imaan bechna nahi
Salman Khan
Main har daur mein har nasal ke kaatil dekhe ... main mohabbat hoon meri umar badi hai yaaron
Govinda
Aye jawaano zindagi resham bhi hai talwar bhi ... muskurata phool bhi hai aur khatakta haar bhi ... chaand suraj ki tarah yeh garam bhi hai sard bhi ... apni aankhon ka hai aasoon doosro ka dard bhi ... raaste mein aman ki mashaal jalane ke liye ... hum toh jeete hai watan ke kaam aane ke liye
Unknown
Bhagwan ne har khushnaseeb ke liye ek aaisa insaan banaya hai ... jiska haath thaamke zindagi ko sahi disha milti hai
Bobby Deol
Jaan ki baazi lagane waala hota hai janbaaz ... jeene ka hai marne ka hai, apna hi andaz
Anil Kapoor
Kabhi kabhi life mein aaisa lagta hai ki hum sach-much udh sakte hai ... aaisa lagta hai ki yeh ek mauka sirf hamare liye banaya gaya hai
Imran Khan
Hansi mazak mein jhoot bolna aur baat hai ... lekin main zindagi mein jhoot bolkar kuch bhi haasil nahi karna chahta
Ajay Devgan
Zindagi mein kabhi kabhi pagalpan bahut zaroori hota hai
Preity Zinta
Zindagi zaroorto ke hisaab se guzaarni chahiye ... na ki khwaisho ke hisaab se ... kyun ki zaroortein saala fakir ki bhi poori ho jaati ... magar khwaishein badshaho ki bhi adhoori reh jaati hai
Veena Malik
Palne waala pehda karne waala se kahin uncha hota hai ... maa toh sirf janam deti hai na ... lekin zindagi deti hai palne waali
Amitabh Bachchan
Hum apne dhande mein jis kisike saath taluk rakhte hai ... uski agli, pichli, sari zindagi ka hisaab kitaab apni kitaab mein rakh lete hai
Pran
Zindagi ek natak hi toh hai, lekin zindagi aur natak mein farak hai ... natak ko jahan chaho, jab chaho badal do lekin ... zindagi ke natak ki dor toh upar waale ke haath mein hai
Raaj Kumar
Aadmi koi patthar nahi hai ki ek baar jaisa ban gaya, zindagi bhar waisa hi bana rahega
Shafi Inamdar
Agni ke saat phere toh sabhi lete hai ... lekin zindagi ki aag se guzarkar joh rishta kayam hota hai ... usse pavitra, usse sacha bandhan aur koi nahi
Rajendranath Zutshi
Ummeed ka diya toh zindagi ka diya bujhne ke baad hi bujhta hai
Hamari zindagi hamari hote huye bhi hamesha hamari nahi hoti hai ... hum mein woh zindagi bhi jeeni padti hai jise jeene ki log humse umeed karte hai
Ashutosh Rana
Tum shamshaan mein bujhi chitta ki rakh mein zindagi dhoond rahi ho
Rajesh Khanna
Yeh zindagi ke highway pe bahut sari gaadiyan daudti rehti hai ... tu kisi ko rokega toh ruk jayegi ... lift maangega toh mil jayegi ... aur jagah nahi hogi na toh bhi adjust karke bhita denge ... lekin yeh joh family wali gaadiyan hoti hai na ... woh saale rokte nahi hai ... lift bhi nahi milti hai ... jagah hogi toh bhi andar behetne nahi denge
Paresh Rawal
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory