Meri pahunch Delhi se lekar shamshan ghat tak hai ... awaaz Delhi tak jaati hai aur dushman shamshan tak chala jaata hai
Kiran Kumar
Dosti jitni gehri hoti hai dushmani bhi utni hi gehri hoti hai
Unknown
Jab hum kash lagate hai ... toh hamare dushman gash khakar gir jaate hai
Raaj Kumar
Aurat ko uski jaat aur dushman ko uski aukaad ... jitna jaldi ho sake bata deni chahiye
Sushant Singh
Bhaage hamare dushman meri jaan, hum mein rukna hoga ... hamari mohabbat ke aage, in kamino ko jhukna hoga
Shahrukh Khan
Apne dushman ko maarna hai toh usse ussi ke hathyaar se maaroo
Dost ki dosti par se yakeen khona aasaan hai ... dushman ki dushmani par se yakeen khona aasaan nahi hai
Ritesh Deshmukh
Jab do dost dushman bante hai ... toh aur bhi zyada khatarnak hote hai ... kyun ki woh ek doosre ki kamzori jante hai
Sanjay Kapoor
Jab aulaad dushman ban jaye ... toh maa baap ko atmahatya kar leni chahiye
Mithun Chakraborty
Dushmani aur dosti agar ghaadi na ho ... toh us mein koi rang nahin aata
Tum dushmano ko taane marte ho ... main dushmano ko goli marta hoon
Kader Khan
Ek boxer ka sabsa bada dushman hai reham ... joh tumhara opponent tumpar kabhi nahi karega
Mamik Singh
Tum jaise log dushman hote hain sari insaaniyat ke
Aamir Khan
Apne guroor ko zinda rakhne ke liye ... hamari masoom mohabbat par apni dushmani ka aaisa koi kila mat bandiye ... jiski buniyaad aapko khoon ki nadiyon par rakhni padhe
Salman Khan
Jiska koi dost nahi hota ... uska koi dushman bhi nahi hota
Amitabh Bachchan
Haqeeqat khul gayi teri ki tu kaisa gavala hai ... kamine dushmano ke gaon ka tu rehne waala hai
Pran
Chocolate se dosti, diabetes ka khatra ... daru se dosti, liver ka khatra ... aur mujhse dosti, dushmani ka khatra
Sanjay Dutt
Jab hum dushmano ka khayal karte hue apne paon neeche rakhte hai ... toh hamare dushman maut ka tasavur karte hue zameen se upar uthne lagte hai
Shaadi aur yudh mein sirf ek hi farak hota hai ... shaadi mein aap apne dushman ke saath raat ko soo sakte hain
Paresh Rawal
Hum mafia is pani ki tarah hai ... dosti ki mithaas mila de, amrit ban jayega ... dushmani ka zehar gholega, jaan lelega
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory